aabai ghar
mātamī shaam utar aa.ī hai phir baam talak
ghar kī tanhā.ī ko bahlā.e koī kaise bhalā
apne ḳhvāboñ ke ta.āqub meñ ga.e us ke makīñ
muntazir haiñ ye nigāheñ ki haiñ bujhte se diye
raah takne ke liye koī bachegā kab tak
phir ye dīvāreñ bhī Dhah jā.eñgī
matami sham utar aai hai phir baam talak
ghar ki tanhai ko bahlae koi kaise bhala
apne KHwabon ke taaqub mein gae us ke makin
muntazir hain ye nigahen ki hain bujhte se diye
rah takne ke liye koi bachega kab tak
phir ye diwaren bhi Dhah jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.