maut hayat ke shajar ka phal hai
maut hayāt ke shajar kā phal hai
use bhī chakh kar dekho
bahut kināre dekh chuke
ab nadī se mil kar dekho
ḳhaak pe apnī tadbīroñ se
naqsh banā.e kyā kyā
bahut chale un rastoñ par
ab havā meñ chal kar dekho
aur bhī dasht haiñ aur bhī dar haiñ
is bastī se mīloñ bāhar
in jaise hī aur bhī ghar haiñ jin ke āñgan jalte bujhte
aise hī kuchh shām-o-sahar haiñ
jin kī talāsh meñ
sab dar jhāñke
qarya qarya chaḌhte chāñd aur Dūbte sūraj
koh-o-daman sab khole
shāyad vo bhī vahīñ mile ab
us ghar chal kar dekho
maut hayāt ke shajar kā phal hai
use bhī kuchh kar dekho
maut hayat ke shajar ka phal hai
use bhi chakh kar dekho
bahut kinare dekh chuke
ab nadi se mil kar dekho
KHak pe apni tadbiron se
naqsh banae kya kya
bahut chale un raston par
ab hawa mein chal kar dekho
aur bhi dasht hain aur bhi dar hain
is basti se milon bahar
in jaise hi aur bhi ghar hain jin ke aangan jalte bujhte
aise hi kuchh sham-o-sahar hain
jin ki talash mein
sab dar jhanke
qarya qarya chaDhte chand aur Dubte suraj
koh-o-daman sab khole
shayad wo bhi wahin mile ab
us ghar chal kar dekho
maut hayat ke shajar ka phal hai
use bhi kuchh kar dekho
- Book : Pakistani Adab (Pg. 140)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.