aaina
maiñ apnī sūrat ko ā.īne meñ
huuñ dekh kar aaj saḳht hairāñ
vo ḳhūb-sūrat hiran sī āñkheñ
kahāñ ga.iiñ kyā huā hai un ko
vahāñ to ab do gaḌhe haiñ baaqī
muhīb sunsān aur vīrāñ
gulāb se surḳh hoñT mere
ḳhajil the yāqūt-o-la.al jin se
jamā huā un pe dekhtī huuñ
bahut se logoñ kā ḳhūn-e-nāhaq
ye merā piilā sā zard chehra
nahīñ hai ik ḳhuuñ kī buuñd jis meñ
ye murdanī dekh kar mujhe to
baḌā hī ḳhauf aa rahā hai ḳhud se
maiñ sochtī huuñ ye bholī duniyā
hai kitnī ma.asūm aur nādāñ
ki phir bhī mujh ko samajh rahī hai
hasīn aur nāznīn ab tak
magar nahīñ maiñ to vāqa.ī huuñ
bahut hasīn aur ḳhūb-sūrat
ye aa.ina jhuuT boltā hai
daroġh-go hai
maiñ toḌ dūñgī ise abhī phir
kabhī na dekhūñgī is meñ chehra
sakhī vo ā.īna mujh ko lā de
jo mujh ko ik baar phir dikhā de
mirī vo pahlī sī pyārī sūrat
main apni surat ko aaine mein
hun dekh kar aaj saKHt hairan
wo KHub-surat hiran si aankhen
kahan gain kya hua hai un ko
wahan to ab do gaDhe hain baqi
muhib sunsan aur viran
gulab se surKH honT mere
KHajil the yaqut-o-lal jin se
jama hua un pe dekhti hun
bahut se logon ka KHun-e-nahaq
ye mera pila sa zard chehra
nahin hai ek KHun ki bund jis mein
ye murdani dekh kar mujhe to
baDa hi KHauf aa raha hai KHud se
main sochti hun ye bholi duniya
hai kitni masum aur nadan
ki phir bhi mujh ko samajh rahi hai
hasin aur naznin ab tak
magar nahin main to waqai hun
bahut hasin aur KHub-surat
ye aaina jhuT bolta hai
darogh-go hai
main toD dungi ise abhi phir
kabhi na dekhungi is mein chehra
sakhi wo aaina mujh ko la de
jo mujh ko ek bar phir dikha de
meri wo pahli si pyari surat
- Book : Zehrab (Pg. 9)
- Author : Fakhrezaman
- Publication : Idarah Eshat-e-adab, Gujrat (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.