mujhse puchho
maiñ har daur meñ janmā
bāteñ har yug kī
dohrā saktā huuñ
mujh se pūchho
maiñ suqrāt ke hoñToñ par thā
zahr kā pyāla
maiñ ne piyā thā
aur suqrāt mirā kab thā
raam ne kab ban-bās liyā thā
vo to maiñ thā
chaudah saal to maiñ ne kaaTe
jañgal jañgal sahrā sahrā
maiñ bhaTkā thā
aur lanka tak
tum ko to ma.alūm nahīñ hai
maiñ bhī nuuh kī kashtī par thā
tum kyā jaano
vo kashtī to Duub ga.ī thī
us kashtī kā koī musāfir
kahāñ bachā thā
bas ik maiñ hī bach niklā thā
mujh se pūchho
aur bahut sī bāteñ
maiñ samjhā saktā huuñ
maiñ har daur meñ janmā
maiñ har daur meñ janmā
bāteñ har yug kī
dohrā saktā huuñ
main har daur mein janma
baaten har yug ki
dohra sakta hun
mujh se puchho
main suqraat ke honTon par tha
zahr ka pyala
main ne piya tha
aur suqraat mera kab tha
ram ne kab ban-bas liya tha
wo to main tha
chaudah sal to main ne kaTe
jangal jangal sahra sahra
main bhaTka tha
aur lanka tak
tum ko to malum nahin hai
main bhi nuh ki kashti par tha
tum kya jaano
wo kashti to Dub gai thi
us kashti ka koi musafir
kahan bacha tha
bas ek main hi bach nikla tha
mujh se puchho
aur bahut si baaten
main samjha sakta hun
main har daur mein janma
main har daur mein janma
baaten har yug ki
dohra sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.