qabristan mein KHud-kalami
mire paas
maut ke bahut se options haiñ
maiñ kisī bhī vaqt kahīñ bhī maarā jā saktā huuñ
mobile chhīnñe vaalā naujavān
mujhe Taḳhne par golī maar saktā hai
police ke naake par na rukne kī pādāsh meñ
mujhe thāne ke andar maarā jā saktā hai
raat ke pichhle pahar
ghar meñ ghusne vaalā Daaku kaalī jeb hone ke jurm meñ
mujhe bandūq ke hiT-mark se halāk kar saktā hai
jī pī fund ke husūl kī ḳhātir
maiñ
a-g office kī sīḌhiyāñ chaḌhte chaḌhte
dil ke daure se bhī mar saktā huuñ
aur
kisī gunjān market yā masjid meñ hone vaale dhamāke meñ bā-āsānī
shahādat pā saktā huuñ
ab to
ġhurbat kī lakīr se laTak kar
mere bhuuk se marne ke imkānāt bhī paidā hone lage haiñ
agarche jañg meñ kaam aane kā zamāna guzar chukā hai
magar ba.az muqaddas dushman
merī maut ke evaz jannat ke talabgār haiñ
merī samājī maut se ab kisī ko koī fā.eda nahīñ
hattā ki mujhe bhī nahīñ
magar plot mafiyā ke alāva zaḳhīra-andoz aur saTTe-bāz
merī maut ke muntazir haiñ
aur
unhoñ ne mujhe be-tauqīr kar ke
saḌak par merī ḳhud-sozī kā rāsta kushāda kar diyā hai
jamhūriyat aur insānī huqūq kī bāzyāft ke liye marnā merā ḳhvāb thā
magar
bachchoñ kī fēseñ adā karne ke liye aur Time lagāne ke baa.is
mere paas aisī ayyāshī ke liye vaqt nahīñ
so
maiñ ba-qā.emī hosh-o-havās aise farsūda nazriyāt ko mustarad kartā huuñ
raat der ga.e
ghar lauTte hue
rāh-gīrī maut maare jaanā merī hargiz tarjīh nahīñ
magar us meñ harj bhī kyā hai
ki us ke evaz sarkārī ḳhazāne se pāñch laakh rūpa.e milte haiñ
maiñ
zinda rahne ke imkānāt se taqrīban mahrūm kiyā jā chukā huuñ
magar na-jāne kyuuñ
maiñ zinda rahnā chāhtā huuñ
mere pas
maut ke bahut se options hain
main kisi bhi waqt kahin bhi mara ja sakta hun
mobile chhinne wala naujawan
mujhe TaKHne par goli mar sakta hai
police ke nake par na rukne ki padash mein
mujhe thane ke andar mara ja sakta hai
raat ke pichhle pahar
ghar mein ghusne wala Daku kali jeb hone ke jurm mein
mujhe banduq ke hiT-mark se halak kar sakta hai
ji pi fund ke husul ki KHatir
main
a-g office ki siDhiyan chaDhte chaDhte
dil ke daure se bhi mar sakta hun
aur
kisi gunjaan market ya masjid mein hone wale dhamake mein ba-asani
shahadat pa sakta hun
ab to
ghurbat ki lakir se laTak kar
mere bhuk se marne ke imkanat bhi paida hone lage hain
agarche jang mein kaam aane ka zamana guzar chuka hai
magar baz muqaddas dushman
meri maut ke ewaz jannat ke talabgar hain
meri samaji maut se ab kisi ko koi faeda nahin
hatta ki mujhe bhi nahin
magar plot mafiya ke alawa zaKHira-andoz aur saTTe-baz
meri maut ke muntazir hain
aur
unhon ne mujhe be-tauqir kar ke
saDak par meri KHud-sozi ka rasta kushada kar diya hai
jamhuriyat aur insani huquq ki bazyaft ke liye marna mera KHwab tha
magar
bachchon ki feesen ada karne ke liye aur Time lagane ke bais
mere pas aisi ayyashi ke liye waqt nahin
so
main ba-qaemi hosh-o-hawas aise farsuda nazriyat ko mustarad karta hun
raat der gae
ghar lauTte hue
rah-giri maut mare jaana meri hargiz tarjih nahin
magar us mein harj bhi kya hai
ki us ke ewaz sarkari KHazane se panch lakh rupae milte hain
main
zinda rahne ke imkanat se taqriban mahrum kiya ja chuka hun
magar na-jaane kyun
main zinda rahna chahta hun
- Book : Duniyazad (Pg. 158)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.