Dal se koyal uD jati hai
patle patle hoñToñ par haiñ
āñkhoñ jaisī moTī bāteñ
aisī bāteñ kyuuñ karte ho
zulfeñ sapne
phuul aur jazbe
achchhā haañ ik baat batāo
kal tum itne chup chup kyuuñ the
ḳhāmoshī se yuuñ lagtā thā
jaise sapne TuuT rahe hoñ
mujhe ḳhabar hai merī ḳhātir
tum ne kyā kiyā
kūkte kūkte Daal se koyal uḌ jaatī hai
man kā mandir reza reza ho jaatā hai
maiñ kyā jānūñ tum ne kyā kyā dukh jhele haiñ
achchhā aao va.ada kar leñ
aisī bāteñ nahīñ kareñge
lekin haañ nārāz na honā
dekh mujh se milte rahnā
bolo ab maiñ jā.ūñ yahāñ se
maiñ aur vo ab patthar ke haiñ
usī jagah par khaḌe hue haiñ
jaane kab se gaḌe hue haiñ
ik patthar meñ āvāzeñ haiñ
ik patthar meñ sannāTā hai
sannāTā āvāz kā parda
āvāzeñ sannāTe kā
bolo ab maiñ jā.ūñ yahāñ se
maiñ kahtā huuñ jā sakte ho
patle patle honTon par hain
aankhon jaisi moTi baaten
aisi baaten kyun karte ho
zulfen sapne
phul aur jazbe
achchha han ek baat batao
kal tum itne chup chup kyun the
KHamoshi se yun lagta tha
jaise sapne TuT rahe hon
mujhe KHabar hai meri KHatir
tum ne kya kiya
kukte kukte Dal se koyal uD jati hai
man ka mandir reza reza ho jata hai
main kya jaanun tum ne kya kya dukh jhele hain
achchha aao wada kar len
aisi baaten nahin karenge
lekin han naraaz na hona
dekh mujh se milte rahna
bolo ab main jaun yahan se
main aur wo ab patthar ke hain
usi jagah par khaDe hue hain
jaane kab se gaDe hue hain
ek patthar mein aawazen hain
ek patthar mein sannaTa hai
sannaTa aawaz ka parda
aawazen sannaTe ka
bolo ab main jaun yahan se
main kahta hun ja sakte ho
- Book : Pakistani Adab (Pg. 150)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.