sham ki barish
kaun se koh kī aaḌ meñ lī ḳhurshīd ne jā kar aaj panāh
chou-tarfā yalġhār sī kī hai abr ne bhī tā-hadd-e-nazar
dhīme chalte kaale bādal uḌtī sī ujlī badlī
raqsāñ raqsāñ jhalak dikhā kar rah jaatī hai barq kabhī
pattoñ ke jhurmuT meñ saa.e kajlā.e sharmā.e se
phuul halīmī se sar ḳham aur kaliyāñ kuchh sharmā.ī siiñ
dānista bārish meñ uḌte phirte āvāra taa.ir
yahāñ vahāñ baiThe kitne bhīgīñ chup-chāp se ḳhush ho kar
bijlī kī mānūs kaḌak shah-zor garaj ye bādal kī
ab ke ham ne kitnī dhūpeñ is mausam kī raah takī
kaun se koh ki aaD mein li KHurshid ne ja kar aaj panah
chou-tarfa yalghaar si ki hai abr ne bhi ta-hadd-e-nazar
dhime chalte kale baadal uDti si ujli badli
raqsan raqsan jhalak dikha kar rah jati hai barq kabhi
patton ke jhurmuT mein sae kajlae sharmae se
phul halimi se sar KHam aur kaliyan kuchh sharmai sin
danista barish mein uDte phirte aawara tair
yahan wahan baiThe kitne bhigin chup-chap se KHush ho kar
bijli ki manus kaDak shah-zor garaj ye baadal ki
ab ke hum ne kitni dhupen is mausam ki rah taki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.