na mera nam mera hai
na merā naam merā hai
na us kā ruup us kā hai
na merī shaḳhsiyat merī
na us kā ġham faqat us kā
yahāñ jo hai
faqat saaya hai nuqta hai
koī phailā huā saaya
koī simTā huā nuqta
naqāboñ se milo logo
naqāboñ hī ko jitne naam de sakte ho
de Daalo
naqābeñ rāste manzil phailte saa.e dīvāreñ
naqābeñ naam chehre shaḳhsiyat ehsās kī lahreñ
na mera nam mera hai
na us ka rup us ka hai
na meri shaKHsiyat meri
na us ka gham faqat us ka
yahan jo hai
faqat saya hai nuqta hai
koi phaila hua saya
koi simTa hua nuqta
naqabon se milo logo
naqabon hi ko jitne nam de sakte ho
de Dalo
naqaben raste manzil phailte sae diwaren
naqaben nam chehre shaKHsiyat ehsas ki lahren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.