imtihan
hujūm-e-rañj-o-alam
ka.ī paikaroñ meñ Dhal kar chahār jānib pe chhā rahā hai
zamīn ātish-fishāñ hai aur āsmān se bārish-e-sitam hai
samundaroñ meñ ġhazab ke tūfāñ
sulagte jalte hue kaThin rāstoñ meñ patthar
ham un ke narġhe meñ
istaqāmat se chal rahe haiñ
qadam qadam gir rahe haiñ gir kar sambhal rahe haiñ
ye us kī chāhat kī āzmā.ish hai
aur be-laus-o-be-ġharaz jazba-e-vafā kā
hasīn tohfa
ye us kī chāhat kī ik sanad hai
ye us kī nazroñ meñ imtihāñ hai
hujum-e-ranj-o-alam
kai paikaron mein Dhal kar chahaar jaanib pe chha raha hai
zamin aatish-fishan hai aur aasman se barish-e-sitam hai
samundaron mein ghazab ke tufan
sulagte jalte hue kaThin raston mein patthar
hum un ke narghe mein
istaqamat se chal rahe hain
qadam qadam gir rahe hain gir kar sambhal rahe hain
ye us ki chahat ki aazmaish hai
aur be-laus-o-be-gharaz jazba-e-wafa ka
hasin tohfa
ye us ki chahat ki ek sanad hai
ye us ki nazron mein imtihan hai
- Book : Seepiyon Ki Qaid men
- Author : Yaqoob Tasawwur
- Publication : Yaqoob Tasawwur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.