hazar sher
shaam tujh par hazār sher kahūñ
dil ko phir bhī qarār aatā nahīñ
ye tirā husn ye halīmī tirī
terī ḳhāmoshiyāñ ye ma.anī-ḳhez
din sameTe to apne āñchal meñ
kaise pal pal bikher detī hai rañg
aur añdhere meñ Duub jaane ko
terā kuchh hī ghaḌī kā narm vajūd
ḳhushbueñ gholtā fazāoñ meñ
dosh par yuuñ uḌe havāoñ ke
jaise tujh ko sivā.e ulfat ke
aur kuchh bhī nahīñ sujhā.ī de
kis qadar pur-sukūn lagte haiñ
aa ke terī panāh meñ ye shajar
sar-bulandī ye kohsāroñ kī
huī vāzeh shafaq meñ tere sabab
ho ga.e naġhma-rez sab taa.ir
jaane kab maiñ bhī gungunāne lagī
sham tujh par hazar sher kahun
dil ko phir bhi qarar aata nahin
ye tera husn ye halimi teri
teri KHamoshiyan ye mani-KHez
din sameTe to apne aanchal mein
kaise pal pal bikher deti hai rang
aur andhere mein Dub jaane ko
tera kuchh hi ghaDi ka narm wajud
KHushbuen gholta fazaon mein
dosh par yun uDe hawaon ke
jaise tujh ko siwae ulfat ke
aur kuchh bhi nahin sujhai de
kis qadar pur-sukun lagte hain
aa ke teri panah mein ye shajar
sar-bulandi ye kohsaron ki
hui wazeh shafaq mein tere sabab
ho gae naghma-rez sab tair
jaane kab main bhi gungunane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.