aadhe raste mein
mujhe ghar jaane do
maiñ chhat ko jaane vaalī sīḌhī par baiTh kar
rañg-birañgī patañgoñ
aur uḌte hue safed kabūtaroñ ko dekhnā chāhtā huuñ
mujhe ghar jaane do
mere ghar kī pichhlī galī meñ sarsarātī ThanDī havā
ek dhānī āñchal
aur khiḌkiyoñ meñ saje phuul mere muntazir haiñ
maiñ shīsham ke tane par khudā huā aadhā din
chhoTe chhoTe ḳhvāboñ vaalī sandūqchī
aur miTTī ke āb-ḳhore meñ paḌā vāpsī kā ta.avīz
vahīñ bhuul aayā huuñ
mujhe ghar jaane do
mujhe ghar jaane do
main chhat ko jaane wali siDhi par baiTh kar
rang-birangi patangon
aur uDte hue safed kabutaron ko dekhna chahta hun
mujhe ghar jaane do
mere ghar ki pichhli gali mein sarsaraati ThanDi hawa
ek dhani aanchal
aur khiDkiyon mein saje phul mere muntazir hain
main shisham ke tane par khuda hua aadha din
chhoTe chhoTe KHwabon wali sanduqchi
aur miTTi ke aab-KHore mein paDa wapsi ka tawiz
wahin bhul aaya hun
mujhe ghar jaane do
- Book : Pakistani Adab (Pg. 149)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.