meditation
meditation
kuchh na sochūñ
maiñ kuchh nahīñ sochūñ
yuuñ hī khiḌkī se shaam ko dekhūñ
pur-sukūñ āsmāñ ḳhamosh daraḳht
surma.ī raushnī havā ye sakūñ
apnī nas nas meñ muntaqil kar luuñ
dil kī dhaḌkan ko rok duuñ kuchh pal
ek daf.a palak nahīñ jhapkūñ
yuuñ hī baiThī rahūñ jo be-jumbish
ruuh phir rab se baat kartī hai
kitne hī kaam saath kartī hai
meditation
kuchh na sochun
main kuchh nahin sochun
yun hi khiDki se sham ko dekhun
pur-sukun aasman KHamosh daraKHt
surmai raushni hawa ye sakun
apni nas nas mein muntaqil kar lun
dil ki dhaDkan ko rok dun kuchh pal
ek dafa palak nahin jhapkun
yun hi baiThi rahun jo be-jumbish
ruh phir rab se baat karti hai
kitne hi kaam sath karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.