yaad
yaad ek be-rañg be-mahak
murjhāyā huā gulāb
jis ke kāñToñ kī chubhan
baaqī rahtī hai sadā
yād-e-māzī kī banā.ī huī
ek dhundlī tasvīr
mel nahīñ khātā jis se haal kā chehra
phir bhī lagī hai dil kī dīvār par
yaad TūTā-phūTā ek aisā khilaunā
jis se insān dil bahlānā chāhe
be-kār hone ke bāvajūd
use pheñknā nahīñ chāhe
yaad ek sarāb
ziist ke registān meñ
jo aur bhī baḌhā de
thake haare musāfir kī pyaas
yaad ek be-rang be-mahak
murjhaya hua gulab
jis ke kanTon ki chubhan
baqi rahti hai sada
yaad-e-mazi ki banai hui
ek dhundli taswir
mel nahin khata jis se haal ka chehra
phir bhi lagi hai dil ki diwar par
yaad TuTa-phuTa ek aisa khilauna
jis se insan dil bahlana chahe
be-kar hone ke bawajud
use phenkna nahin chahe
yaad ek sarab
zist ke registan mein
jo aur bhi baDha de
thake haare musafir ki pyas
- Book : Muhobbat Ke Saaye (Pg. 15)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.