ifrit
vatan kī dhartī se duur
jab vatan ke maare
barahna tan aur tahī-shikam kī talab kī shiddat
se ho ke majbūr
jalte sahrā kī vus.atoñ meñ
muqayyad-e-nār ho ga.e haiñ
na tauq-e-āhan
na beḌiyāñ haiñ
na hai salāsil kā bojh tan par
jhulaste sahrā kī vus.atoñ meñ
saroñ pe sūraj kī chhatriyāñ haiñ
badan se āb-e-mashaqqat-e-be-sukūñ kī
nahreñ ravāñ-davāñ haiñ
watan ki dharti se dur
jab watan ke mare
barahna tan aur tahi-shikam ki talab ki shiddat
se ho ke majbur
jalte sahra ki wusaton mein
muqayyad-e-nar ho gae hain
na tauq-e-ahan
na beDiyan hain
na hai salasil ka bojh tan par
jhulaste sahra ki wusaton mein
saron pe suraj ki chhatriyan hain
badan se aab-e-mashaqqat-e-be-sukun ki
nahren rawan-dawan hain
- Book : Seepiyon Ki Qaid men
- Author : Yaqoob Tasawwur
- Publication : Yaqoob Tasawwur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.