ye zamīñ ye āsmāñ ye kā.enāt
ek lā-mahdūd vus.at ek be-ma.anī vajūd
aadmī is abtarī kī ruuh hai
aadmī is mādde kā zehn hai
abtarī lā-intihā
mādda-e-lā-intihā
aadmī mahdūd hai
aadmī kā zehn bhī mahdūd hai
ruuh bhī mahdūd hai
ye zamīñ ye āsmāñ ye kā.enāt
jabr kā ik silsila
kis tarah samjhūñ use
karb hai aur ruuh kī tanhā.iyāñ
zehn kī ḳhāmoshiyāñ
mādde kī chaar dīvārī meñ sar ko phoḌtā phirtā huuñ maiñ
zindagī ke ḳhatm ho jaane se pahle
raaz pā saktā nahīñ
aur jab mar jā.ūñgā
raaz kā ik juzv ban jā.ūñgā maiñ
tab mujhe DhūñDegā kaun
kaun DhūñDegā mujhe
aah ye lāchārgī bebasī
ek lā-mahdūd vus.at ek be-ma.anī vajūd
ye zamīñ ye āsmāñ ye kā.enāt
ye zamin ye aasman ye kaenat
ek la-mahdud wusat ek be-mani wajud
aadmi is abtari ki ruh hai
aadmi is madde ka zehn hai
abtari la-intiha
madda-e-la-intiha
aadmi mahdud hai
aadmi ka zehn bhi mahdud hai
ruh bhi mahdud hai
ye zamin ye aasman ye kaenat
jabr ka ek silsila
kis tarah samjhun use
karb hai aur ruh ki tanhaiyan
zehn ki KHamoshiyan
madde ki chaar diwari mein sar ko phoDta phirta hun main
zindagi ke KHatm ho jaane se pahle
raaz pa sakta nahin
aur jab mar jaunga
raaz ka ek juzw ban jaunga main
tab mujhe DhunDega kaun
kaun DhunDega mujhe
aah ye lachaargi bebasi
ek la-mahdud wusat ek be-mani wajud
ye zamin ye aasman ye kaenat
- Book : tanhaa.ii (Pg. 263)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.