zāhid-e-ḳhushk huuñ duniyā meñ na pūchho mujh ko
dekhnā ho to kisī pag pe kisī peḌ ke nīche jis kī
ek bhī shāḳh na pattoñ se harī ho dekho
yā kisī naav meñ jo
paar jaatī huī rūhoñ se bharī ho dekho
paar jaanā hai mujhe
bahte paanī se udhar duur jahāñ
ek vaadī hai jo vīrān bhī ḳhāmosh bhī hai
ek devī ne vahāñ ghaas ugā rakkhī hai
zahid-e-KHushk hun duniya mein na puchho mujh ko
dekhna ho to kisi pag pe kisi peD ke niche jis ki
ek bhi shaKH na patton se hari ho dekho
ya kisi naw mein jo
par jati hui ruhon se bhari ho dekho
par jaana hai mujhe
bahte pani se udhar dur jahan
ek wadi hai jo viran bhi KHamosh bhi hai
ek dewi ne wahan ghas uga rakkhi hai
- Book : tanhaa.ii (Pg. 249)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.