KHata-e-buzurgan
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
huā ik baar yuuñ
un ke buzurgoñ ne
zamīñ meñ kuchh nahīñ boyā
faqat añgūr kī beleñ ugā.īñ
aur miTTī ke ghaḌoñ meñ mai banā.ī
raat jab aa.ī
un ke badan nañge the
pahlī baar
mai kā zā.iqa hoñToñ ne chakkhā thā
hikāyat hai
barahna dekh kar apne buzurgoñ ko
javāñ beToñ ne āñkheñ band kar liiñ
aur miTTī ke ghaḌoñ ko toḌ Daalā
sub.h se pahle
zamīñ hamvār kī
aur us meñ aise biij bo.e
jin ke phal paude
kabhī un ke buzurgoñ ke na kaam aa.e
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
hua ek bar yun
un ke buzurgon ne
zamin mein kuchh nahin boya
faqat angur ki belen ugain
aur miTTi ke ghaDon mein mai banai
raat jab aai
un ke badan nange the
pahli bar
mai ka zaiqa honTon ne chakkha tha
hikayat hai
barahna dekh kar apne buzurgon ko
jawan beTon ne aankhen band kar lin
aur miTTi ke ghaDon ko toD Dala
subh se pahle
zamin hamwar ki
aur us mein aise bij boe
jin ke phal paude
kabhi un ke buzurgon ke na kaam aae
- Book : purani baat hai (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.