ajib hai ye zindagi
ajiib hai ye zindagī kabhī hai ġham kabhī ḳhushī
har ek shai hai be-yaqīñ har ek chiiz aarzī
ye kārvāñ ruke kahāñ ki manzileñ haiñ be-nishāñ
chhupe hue haiñ rāste yahāñ vahāñ dhuāñ dhuāñ
ḳhatar haiñ kitne raah meñ safar hai kitnā ajnabī
ajiib hai ye zindagī
ye gaal zard zard se aTe hue haiñ gard se
sitam-rasīda dil yahāñ taḌap rahe haiñ dard se
ye sūrateñ ki jin pe hai sitam kī dāstāñ likhī
ajiib hai ye zindagī
haiñ behtarī ke vāste to ye sitam qubūl haiñ
chuneñge phuul jaan kar jo raah meñ babūl haiñ
ḳhushī se ġham saheñge ham jo ġham ke ba.ad hai ḳhushī
ajiib hai ye zindagī
ajib hai ye zindagi kabhi hai gham kabhi KHushi
har ek shai hai be-yaqin har ek chiz aarzi
ye karwan ruke kahan ki manzilen hain be-nishan
chhupe hue hain raste yahan wahan dhuan dhuan
KHatar hain kitne rah mein safar hai kitna ajnabi
ajib hai ye zindagi
ye gal zard zard se aTe hue hain gard se
sitam-rasida dil yahan taDap rahe hain dard se
ye suraten ki jin pe hai sitam ki dastan likhi
ajib hai ye zindagi
hain behtari ke waste to ye sitam qubul hain
chunenge phul jaan kar jo rah mein babul hain
KHushi se gham sahenge hum jo gham ke baad hai KHushi
ajib hai ye zindagi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 124)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.