Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tijarati hawa

Wazir Agha

tijarati hawa

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    vo din kaise din the

    havā mujh se kahtī

    chalo saath mere

    chalo donoñ mil kar tijārat kareñ

    duur sar-zamīnoñ ke

    logoñ se

    peñgeñ baḌhā.eñ

    samundar maujoñ ko ham paar kar ke

    ghane surḳh shahroñ meñ maujeñ uḌā.īñ

    magar maiñ ye kahtā

    mujhe samt se kuchh bhī lenā nahīñ hai

    ki har samt

    sāhil pe baiThī chaTTānoñ se

    sar phoḌtī hai

    vahīñ phir chaTTānoñ ke qadmoñ meñ

    dam toḌtī hai

    nahīñ maiñ ye kahtā

    mujhe duur desoñ ko jaanā nahīñ hai

    mujhe to samundar ke andar rahnā hai

    whēloñ se aur shārkoñ se bhare

    gahre sāgar meñ chāroñ taraf ghūmnā hai

    mujhe un jazīroñ se bhī duur rahnā hai

    jo mīThe naġhmoñ siren jaadū jagā.e

    ghanī niiñd taqsīm karne pe māmūr haiñ

    havā mujh se kahtī

    chalo saath mere

    magar maiñ samundar ke namkīn paanī aadī

    mujhe kyā paḌī thī ki maiñ

    sar-phirī us havā koī baat suntā

    kisī sāhilī shahr ke pub pub ke andar

    lahū aise mashrūb tah meñ

    talchhaT sūrat sharābor hotā

    mujhe kyā paḌī thī

    haTo

    surḳh mashrūb tah se

    chhañgulī pe rakh kar nikālo na mujh ko

    dikhāo na sab ko

    maiñ sāgar baasī

    mujhe kyā paḌī thī

    maiñ ik sāhilī shahr ke pub ke andar

    lahū aise mashrūb tah meñ

    talchhaT sūrat sharābor hotā

    mujhe kyā paḌī thī

    wo din kaise din the

    hawa mujh se kahti

    chalo sath mere

    chalo donon mil kar tijarat karen

    dur ki sar-zaminon ke

    logon se

    pengen baDhaen

    samundar ki maujon ko hum par kar ke

    ghane surKH shahron mein maujen uDain

    magar main ye kahta

    mujhe samt se kuchh bhi lena nahin hai

    ki har samt

    sahil pe baiThi chaTTanon se

    sar phoDti hai

    wahin phir chaTTanon ke qadmon mein

    dam toDti hai

    nahin main ye kahta

    mujhe dur deson ko jaana nahin hai

    mujhe to samundar ke andar hi rahna hai

    wheelon se aur shaarkon se bhare

    gahre sagar mein chaaron taraf ghumna hai

    mujhe un jaziron se bhi dur rahna hai

    jo miThe naghmon siren ka jadu jagae

    ghani nind taqsim karne pe mamur hain

    hawa mujh se kahti

    chalo sath mere

    magar main samundar ke namkin pani ka aadi

    mujhe kya paDi thi ki main

    sar-phiri us hawa ki koi baat sunta

    kisi sahili shahr ke pub pub ke andar

    lahu aise mashrub ki tah mein

    talchhaT ki surat sharabor hota

    mujhe kya paDi thi

    haTo

    surKH mashrub ki tah se

    chhanguli pe rakh kar nikalo na mujh ko

    dikhao na sab ko

    main sagar ka basi

    mujhe kya paDi thi

    main ek sahili shahr ke pub ke andar

    lahu aise mashrub ki tah mein

    talchhaT ki surat sharabor hota

    mujhe kya paDi thi

    Source :
    • Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 254)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now