aa ja
merī soī huī qismat ko jagāne aa jā
aa jā aa jā mirī bigḌī ko banāne aa jā
kho gayā aql kī rāhoñ meñ mirā ahd-e-shabāb
az-sar-e-nau mujhe dīvāna banāne aa jā
sard lāsha hai mirā ishq se ḳhālī siina
ik nayā soz na.ī aag lagāne aa jā
baaġh meñ phuul hai pazhmurda-o-pāmāl sabhī
har ravish par tū na.e phuul khilāne aa jā
kaan ab pak ga.e sun sun ke purāne naġhme
an-sune giit na.e raag sunāne aa jā
saḳht hamvār hai yaksāñ hai mirī rāh-e-hayāt
koī sahrā koī vīrāna dikhāne aa jā
zāhid-e-ḳhushk rahā ḳhauf-e-gunah se lekin
ab mohabbat kā gunahgār banāne aa jā
kaif ban jā mire dil kā merī nazroñ kā surūr
misl-e-bāda mirī rag rag meñ samāne aa jā
manzil-e-zīst kidhar hai nahīñ ma.alūm 'habīb'
thaam kar haath mujhe raah dikhāne aa jā
meri soi hui qismat ko jagane aa ja
aa ja aa ja meri bigDi ko banane aa ja
kho gaya aql ki rahon mein mera ahd-e-shabab
az-sar-e-nau mujhe diwana banane aa ja
sard lasha hai mera ishq se KHali sina
ek naya soz nai aag lagane aa ja
bagh mein phul hai pazhmurda-o-pamal sabhi
har rawish par tu nae phul khilane aa ja
kan ab pak gae sun sun ke purane naghme
an-sune git nae rag sunane aa ja
saKHt hamwar hai yaksan hai meri rah-e-hayat
koi sahra koi virana dikhane aa ja
zahid-e-KHushk raha KHauf-e-gunah se lekin
ab mohabbat ka gunahgar banane aa ja
kaif ban ja mere dil ka meri nazron ka surur
misl-e-baada meri rag rag mein samane aa ja
manzil-e-zist kidhar hai nahin malum 'habib'
tham kar hath mujhe rah dikhane aa ja
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 90)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.