wirsa
maiñ bahut ḳhush huuñ ki is darja milī daulat-e-ġham
itnī daulat ki ginī jaa.e na rakkhī jaa.e
aur phir kis ko ḳhabar us kī magar mere sivā
us kā mālik bhī nahīñ koī magar mere sivā
aur daulat bhī ye aisī ki kahīñ besh-bahā
ek ik motī kā hai rañg alag shaan judā
kyuuñ na ho kitne hī sāloñ kī kamā.ī hai ye
sirf merī nahīñ pushtoñ kī kamā.ī hai ye
chhoḌī ajdād ne aulād kī baarī aa.ī
aur aulād bhī aulād ko detī aa.ī
kuchh kamī aa.ī na us meñ kisī mausam kisī saal
be-hisāb ho ke ye baḌhtī rahī baḌhtī hī rahī
maiñ bahut ḳhush huuñ ki is darja milī daulat-e-ġham
mere ajdād meñ bhī mujh sā na thā koī amiir
merī daulat ke muqābil haiñ vo sab log faqīr
maiñ bahut ḳhush huuñ ki is darja milī daulat-e-ġham
bhūltā hī nahīñ maiñ apnī amīrī kā ġhurūr
mere ajdād amiir aur maiñ amiir ibne-amīr
rashk se haa.e magar is pe marā jaatā huuñ
ki na baḌh jaa.e kahīñ rutba-e-aulād-e-amīr
rashk aatā hai bahut un pe nasībe dārad
main bahut KHush hun ki is darja mili daulat-e-gham
itni daulat ki gini jae na rakkhi jae
aur phir kis ko KHabar us ki magar mere siwa
us ka malik bhi nahin koi magar mere siwa
aur daulat bhi ye aisi ki kahin besh-baha
ek ek moti ka hai rang alag shan juda
kyun na ho kitne hi salon ki kamai hai ye
sirf meri nahin pushton ki kamai hai ye
chhoDi ajdad ne aulad ki bari aai
aur aulad bhi aulad ko deti aai
kuchh kami aai na us mein kisi mausam kisi sal
be-hisab ho ke ye baDhti rahi baDhti hi rahi
main bahut KHush hun ki is darja mili daulat-e-gham
mere ajdad mein bhi mujh sa na tha koi amir
meri daulat ke muqabil hain wo sab log faqir
main bahut KHush hun ki is darja mili daulat-e-gham
bhulta hi nahin main apni amiri ka ghurur
mere ajdad amir aur main amir ibne-amir
rashk se hae magar is pe mara jata hun
ki na baDh jae kahin rutba-e-aulad-e-amir
rashk aata hai bahut un pe nasibe darad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.