aab o gil
mujhe yaad paḌtā hai ik umr guzrī
lagāvaT kī shabnam meñ lahja Dubo kar
koī mujh ko āvāz detā thā aksar
bulāve kī māsūmiyat ke sahāre
maiñ āhista āhista pahuñchā yahāñ tak
ba-har samt amboh-e-āvār-gāñ thā
baḌe chaao se maiñ ne ik ik se pūchhā
''kaho kyā tum hī ne pukārā thā mujh ko
kaho kyā tum hī ne pukārā thā mujh ko
magar mujh se amboh-e-āvār-gāñ ne
hirāsāñ hirāsāñ pareshāñ pareshāñ
kahā sirf itnā nahīñ'' vo nahīñ ham
hameñ bhī bulā kar koī chhup gayā hai''
mujhe yaad paDta hai ek umr guzri
lagawaT ki shabnam mein lahja Dubo kar
koi mujh ko aawaz deta tha aksar
bulawe ki masumiyat ke sahaare
main aahista aahista pahuncha yahan tak
ba-har samt amboh-e-awar-gan tha
baDe chao se main ne ek ek se puchha
kaho kya tum hi ne pukara tha mujh ko
kaho kya tum hi ne pukara tha mujh ko
magar mujh se amboh-e-awar-gan ne
hirasan hirasan pareshan pareshan
kaha sirf itna nahin wo nahin hum
hamein bhi bula kar koi chhup gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.