aabla
udāsī ke ufuq par jab tumhārī yaad ke jugnū chamakte haiñ
to merī ruuh par rakkhā huā ye hijr kā patthar
chamaktī barf kī sūrat pighaltā hai!
agarche yuuñ pighalne se ye patthar, sañg-reza to nahīñ bantā!
magar ik hausla sā dil ko hotā hai,
ki jaise sar-ba-sar tārīk shab meñ bhī
agar ik zard-rū, sahmā huā taarā nikal aa.e
to qātil raat kā be-ism jaadū TuuT jaatā hai
musāfir ke safar kā rāsta to kam nahīñ hotā
magar taare kī chilman se
koī bhūlā huā manzar achānak jagmagātā hai!
sulagte paañv meñ ik aabla sā phuuT jaatā hai
udasi ke ufuq par jab tumhaari yaad ke jugnu chamakte hain
to meri ruh par rakkha hua ye hijr ka patthar
chamakti barf ki surat pighalta hai!
agarche yun pighalne se ye patthar, sang-reza to nahin banta!
magar ek hausla sa dil ko hota hai,
ki jaise sar-ba-sar tarik shab mein bhi
agar ek zard-ru, sahma hua tara nikal aae
to qatil raat ka be-ism jadu TuT jata hai
musafir ke safar ka rasta to kam nahin hota
magar tare ki chilman se
koi bhula hua manzar achanak jagmagata hai!
sulagte panw mein ek aabla sa phuT jata hai
- Book : Fishaar (Pg. 109)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Jahangir Book Depot, (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.