aabla
vo raat kitnī ajiib thī
kaT nahīñ rahī thī
ki vaqt hī jaise ruk gayā thā
zabān chup thī
nigāheñ ik dāstān-e-mahrūmī-e-tamannā
sunā rahī thiiñ
bisāt-e-āġhosh bujh ga.ī thī
hamārā hī intizār thā
farsh-e-dil-barī ko
magar ham apnī sharāfat-e-nafs kī
girāñ-bāriyoñ se majbūr ho ga.e the
ḳhud apnī fitrat se
is qadar duur ho ga.e the
ki dil kī āvāz sun na paa.e
lahū kī gardish bhī vaqt ke saath
tham ga.ī thī
ham us ke haq meñ vo aabla the
jo phūTtā hai na sūkhtā hai
wo raat kitni ajib thi
kaT nahin rahi thi
ki waqt hi jaise ruk gaya tha
zaban chup thi
nigahen ek dastan-e-mahrumi-e-tamanna
suna rahi thin
bisat-e-aghosh bujh gai thi
hamara hi intizar tha
farsh-e-dil-bari ko
magar hum apni sharafat-e-nafs ki
giran-bariyon se majbur ho gae the
KHud apni fitrat se
is qadar dur ho gae the
ki dil ki aawaz sun na pae
lahu ki gardish bhi waqt ke sath
tham gai thi
hum us ke haq mein wo aabla the
jo phuTta hai na sukhta hai
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 146)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.