aabnae
aañkh ke ābnā.e meñ
Duubā machherā na jaane
falak-tāz dhāre meñ
gaatī nahātī huī surḳh laḌkī kī jaañ
us machhere meñ hai
laḌkī ke gītoñ meñ
langar-andāz kashtī hai
lahroñ kī karvaT hai
sāhil kā phal hai
machhere kī taaza javānī hai
mastī bharā niilā paanī hai
laḌkī umañDtī huī vaqt kī dhaar hai
jis ke rele se
mahshar bapā kartī lahreñ nikaltī haiñ
laḌkī samundar hai
gahre samundar kī ġhhambīr ḳhāmoshī
paanī se uḌtī huī Dāreñ
chikne kināre
har ik chiiz laḌkī ke gītoñ ke andar hai
laḌkī parinda hai aabī parinda
samundar ke be-ant siine pe
uḌtā hai sadiyoñ se
sadiyoñ se lambī mu'ammar chaTānoñ se juḌtā hai
muḌtā hai vāpas
samundar ke be-ant phailāo kī samt
laḌkī koī mo'jiza hai
samundar meñ jūñhī utartī hai
paanī ko rangīn kartī hai
lahroñ kī chādar ko uupar uThātī hai
nīche se motī ke ambār laatī hai
motī uThāte hue giit gaatī hai
laḌkī ke gītoñ ke mā'nī
faqat us machhere pe raushan haiñ
jo aañkh ke ābnā.e meñ Duubā paḌā hai
aankh ke aabnae mein
Duba machhera na jaane
falak-taz dhaare mein
gati nahati hui surKH laDki ki jaan
us machhere mein hai
laDki ke giton mein
langar-andaz kashti hai
lahron ki karwaT hai
sahil ka phal hai
machhere ki taza jawani hai
masti bhara nila pani hai
laDki umanDti hui waqt ki dhaar hai
jis ke rele se
mahshar bapa karti lahren nikalti hain
laDki samundar hai
gahre samundar ki ghambir KHamoshi
pani se uDti hui Daren
chikne kinare
har ek chiz laDki ke giton ke andar hai
laDki parinda hai aabi parinda
samundar ke be-ant sine pe
uDta hai sadiyon se
sadiyon se lambi mu'ammar chaTanon se juDta hai
muDta hai wapas
samundar ke be-ant phailao ki samt
laDki koi mo'jiza hai
samundar mein junhi utarti hai
pani ko rangin karti hai
lahron ki chadar ko upar uThati hai
niche se moti ke ambar lati hai
moti uThate hue git gati hai
laDki ke giton ke ma'ni
faqat us machhere pe raushan hain
jo aankh ke aabnae mein Duba paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.