aadam-e-nau ka tarana-e-safar
fareb khaa.e haiñ rañg-o-bū ke sarāb ko pūjtā rahā huuñ
magar natā.ej kī raushnī meñ ḳhud apnī manzil pe aa rahā huuñ
jo dil kī gahrā.iyoñ meñ sub.h zuhūr-e-ādam se so rahī thiiñ
maiñ apnī fitrat kī un ḳhudā-dād quvvatoñ ko jagā rahā huuñ
maiñ saañs letā huuñ har qadam par ki bojh bhārī hai zindagī kā
Thahar zarā garm-rau zamāne ki maiñ tire saath aa rahā huuñ
jahāz-rānoñ ko bhī ta.ajjub hai mere is azm-e-mutma.in par
ki āñdhiyāñ chal rahī haiñ tund aur maiñ apnī kashtī chalā rahā huuñ
tilism-e-fitrat bhī muskurātā hai merī afsūñ-tarāziyoñ par
bahut se jaadū jagā chukā huuñ bahut se jaadū jagā rahā huuñ
ye mehr-e-tābāñ se koī kah de ki apnī kirnoñ ko gin ke rakh le
maiñ apne sahrā ke zarre zarre ko ḳhud chamaknā sikhā rahā huuñ
mirā taḳhayyul mire irāde kareñge fitrat pe hukmarānī
jahāñ farishtoñ ke par haiñ larzāñ maiñ us bulandī pe jā rahā huuñ
ye vo gharauñde haiñ jin pe ik din paḌegī buniyād-e-qasr-e-jannat
na samjheñ sukkān-e-bazm-e-ismat ki maiñ gharauñde banā rahā huuñ
ye nāz-parvardagān-e-sāhil Dareñ Dareñ mirī garm rau se
ki maiñ samundar kī tund maujoñ ko rauñdtā paas aa rahā huuñ
fareb khae hain rang-o-bu ke sarab ko pujta raha hun
magar nataej ki raushni mein KHud apni manzil pe aa raha hun
jo dil ki gahraiyon mein subh zuhur-e-adam se so rahi thin
main apni fitrat ki un KHuda-dad quwwaton ko jaga raha hun
main sans leta hun har qadam par ki bojh bhaari hai zindagi ka
Thahar zara garm-rau zamane ki main tere sath aa raha hun
jahaz-ranon ko bhi tajjub hai mere is azm-e-mutmain par
ki aandhiyan chal rahi hain tund aur main apni kashti chala raha hun
tilism-e-fitrat bhi muskuraata hai meri afsun-taraaziyon par
bahut se jadu jaga chuka hun bahut se jadu jaga raha hun
ye mehr-e-taban se koi kah de ki apni kirnon ko gin ke rakh le
main apne sahra ke zarre zarre ko KHud chamakna sikha raha hun
mera taKHayyul mere irade karenge fitrat pe hukmarani
jahan farishton ke par hain larzan main us bulandi pe ja raha hun
ye wo gharaunde hain jin pe ek din paDegi buniyaad-e-qasr-e-jannat
na samjhen sukkan-e-bazm-e-ismat ki main gharaunde bana raha hun
ye naz-parwardagan-e-sahil Daren Daren meri garm rau se
ki main samundar ki tund maujon ko raundta pas aa raha hun
- Book : Intikhab-e-Kalam-e-Jameel Mazhari (Pg. 121)
- Author : Kausar Mazhari
- Publication : Sahitya Academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.