aadam-zad ki dua
zamīñ kī tañgiyoñ ko apnī baḳhshish se kushāda kar
ki sajda kar sakūñ
ye kyā ki mere hausloñ meñ rif.ateñ haiñ
aur girtā jā rahā huuñ apnī fitrat ke nasheboñ meñ
tirī kotāhiyāñ merī anā kī sarhadeñ haiñ
kyā ye dīvāreñ
sadā uThtī raheñgī mere siine par
batā ye rañgīñ ye dūriyāñ paidā huī haiñ
kis kī dānish se
batā mere lahū meñ Dūbte jaate haiñ kyoñ
injīr-o-zaitūñ ke giyā-histāñ
mujhe bhaa.ī mere nīlām karne jā rahe haiñ
tak rahā hai tū mujhe ma.azūr āñkhoñ kī safedī se
ye kaisā shahar hai
jis kī saqāfat kī machānoñ se
mujhe maarā gayā hai aur maiñ showcase meñ
laTkā huā huuñ
merā manzar dekhne vaale
likhī satroñ kī kaalī Doriyoñ par nāchte aate haiñ
ḳhud apne tamāshā.ī
batā baḌhtī huī ābādiyoñ meñ
chāñdnī kyoñ ghaT ga.ī hai
labrez palkeñ jhapakte qumqume āñkhoñ kā bhaiñgā-pan
na.e chaḌhte dinoñ kī surḳhiyāñ haiñ kyā
ḳhudāvand
mujhe taa.ir shajar parbat banā de
yā mujhe Dhā de
ki dobāra janm luuñ apnī be mashrūt āzādī kī ḳhvāhish se
zamin ki tangiyon ko apni baKHshish se kushada kar
ki sajda kar sakun
ye kya ki mere hauslon mein rifaten hain
aur girta ja raha hun apni fitrat ke nashebon mein
teri kotahiyan meri ana ki sarhaden hain
kya ye diwaren
sada uThti rahengi mere sine par
bata ye rangin ye duriyan paida hui hain
kis ki danish se
bata mere lahu mein Dubte jate hain kyon
injir-o-zaitun ke giya-histan
mujhe bhai mere nilam karne ja rahe hain
tak raha hai tu mujhe mazur aankhon ki safedi se
ye kaisa shahar hai
jis ki saqafat ki machanon se
mujhe mara gaya hai aur main showcase mein
laTka hua hun
mera manzar dekhne wale
likhi satron ki kali Doriyon par nachte aate hain
KHud apne tamashai
bata baDhti hui aabaadiyon mein
chandni kyon ghaT gai hai
labrez palken jhapakte qumqume aankhon ka bhainga-pan
nae chaDhte dinon ki surKHiyan hain kya
KHudawand
mujhe tair shajar parbat bana de
ya mujhe Dha de
ki dobara janm lun apni be mashrut aazadi ki KHwahish se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.