Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadha badan

Afaq Fakhri

aadha badan

Afaq Fakhri

MORE BYAfaq Fakhri

    mas.aloñ ke yaḳh-basta sahrā meñ

    merā aadhā badan dhañs chukā hai

    barsoñ se maiñ gaḌā huā huuñ

    barf ke andar khaḌā huā huuñ

    ka.ī baar

    merā badan mukammal taur par barf ke andar dhañs chukā hai

    vo sūraj

    ḳhudā sūraj

    sab ke ḳhudā sūraj

    jis shuā.eñ

    maslahat malbūs oḌh kar

    mere qarīb merā mizāj pūchhne ke liye aatī haiñ

    aur

    mere sar se aadhe badan tak barf ko chaaT kar

    mere badan ko uryāñ kar ke chalī jaatī haiñ

    aur

    āsmān apnī sunahrī masnad par baiTh kar

    merī uryāniyat se lutf-andoz hotī haiñ

    masalon ke yaKH-basta sahra mein

    mera aadha badan dhans chuka hai

    barson se main gaDa hua hun

    barf ke andar khaDa hua hun

    kai bar

    mera badan mukammal taur par barf ke andar dhans chuka hai

    wo suraj

    KHuda ka suraj

    sab ke KHuda ka suraj

    jis ki shuaen

    maslahat ka malbus oDh kar

    mere qarib mera mizaj puchhne ke liye aati hain

    aur

    mere sar se aadhe badan tak barf ko chaT kar

    mere badan ko uryan kar ke chali jati hain

    aur

    aasman ki apni sunahri masnad par baiTh kar

    meri uryaniyat se lutf-andoz hoti hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now