aadhi raat ka suraj
kisī chaukhaT pe chaukīdār lāThī khaTkhaTātā hai
vo khiḌkī khul ga.ī
ik railway engine thakī haarī baseñ kaj-bahas kutte
uljhaneñ mahrūmiyāñ
lo phir qatār andar qatār aa.iiñ
vo khiḌkī khul ga.ī
phir maut dar-ātī chalī aa.ī
tumhāre sahn meñ kele ke patte jāñkanī meñ sar paTakte haiñ
sunā phir billiyāñ us Tiin kī chhat par
hirāsāñ phir rahī haiñ
sub.h kī pahlī kiran ke jāgne tak
maut har muuzī ruuh ko
be-rūh ko
Dastī ruuh ko
sub.h tak Dastī chalī jā.egī
lekin vaqt ke is be-amāñ goshe meñ
tum zinda rahoge
tum jo kal tak maut kī tārīk rātoñ meñ rahe
us raat ik sūraj ke mālik ho
kisī ne is darīda āstīñ par aaj
ik aañsū sajāyā hai
kisi chaukhaT pe chaukidar laThi khaTkhaTata hai
wo khiDki khul gai
ek railway engine thaki haari basen kaj-bahas kutte
uljhanen mahrumiyan
lo phir qatar andar qatar aain
wo khiDki khul gai
phir maut dar-ati chali aai
tumhaare sahn mein kele ke patte jaankani mein sar paTakte hain
suna phir billiyan us Tin ki chhat par
hirasan phir rahi hain
subh ki pahli kiran ke jagne tak
maut har muzi ruh ko
be-ruh ko
Dasti ruh ko
subh tak Dasti chali jaegi
lekin waqt ke is be-aman goshe mein
tum zinda rahoge
tum jo kal tak maut ki tarik raaton mein rahe
us raat ek suraj ke malik ho
kisi ne is darida aastin par aaj
ek aansu sajaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.