aadmi ek peD hai
yuuñ to mausam aa.e bhī aur chal diye
kitne mausam
kyā diye
kyā le ga.e
kis ko pata
ham to itnā jānte haiñ
peḌ par jab koñpleñ phūTīñ
khile kuchh phuul
to ye ḳhair kahlā.e
magar
jab peḌ kī shāḳhoñ pe kāñTe ug rahe the
shar kahā duniyā ne us ko
yaad rakhnā
peḌ jab tak peḌ hai
koñpleñ aur phuul kāñTe
janm lete hī raheñge
mausamoñ kā kyā hai
ye aate rahe
jaate rahe
yun to mausam aae bhi aur chal diye
kitne mausam
kya diye
kya le gae
kis ko pata
hum to itna jaante hain
peD par jab konplen phuTin
khile kuchh phul
to ye KHair kahlae
magar
jab peD ki shaKHon pe kanTe ug rahe the
shar kaha duniya ne us ko
yaad rakhna
peD jab tak peD hai
konplen aur phul kanTe
janm lete hi rahenge
mausamon ka kya hai
ye aate rahe
jate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.