aadmi
jis qadar duniyā meñ maḳhlūqāt hai
sab se ashraf aadmī kī zaat hai
is kī paidā.ish meñ hai ulfat kā raaz
is kī hastī par hai ḳhud ḳhāliq ko naaz
is kī ḳhātir kul jahāñ paidā huā
ye zamīñ ye āsmāñ paidā huā
aql kā jauhar ise baḳhshā gayā
ilm kā zevar ise baḳhshā gayā
is ke sar meñ hai nihāñ aisā dimāġh
jis meñ raushan hai liyāqat kā charāġh
soch kar har kaam kar saktā hai ye
sher ko bhī raam kar saktā hai ye
ye safā.ī se chaTāneñ toḌ de
apnī dānā.ī se dariyā moḌ de
man-chalā hai is kī himmat hai buland
Daal saktā hai sitāroñ par kamand
is ko ḳhatroñ kī nahīñ parvā zarā
aag meñ kuudā ye suulī par chaḌhā
is ke har andāz meñ e.ajāz hai
arsh tak is nuur kī parvāz hai
is kī bātoñ meñ ajab tāsīr hai
ḳhaak kā putlā nahīñ iksīr hai
ye agar nekī ke ziine par chaḌhe
ek din saare farishtoñ se baḌhe
aur agar isyāñ kī daldal meñ phañse
is kā darja kam ho haivānāt se
ye kabhī ruī se baḌh kar narm hai
ye kabhī sūraj se baḌh kar garm hai
ek hālat par nahīñ is kā mizāj
har zamāne meñ badaltā hai rivāj
aur thā pahle ye ab kuchh aur hai
aa.e din is kā nirālā taur hai
is ne behad ruup badle aaj tak
is kī tadbīroñ se hairāñ hai falak
doctor tājir professor vakīl
in kā honā hai taraqqī kī dalīl
is ke pahlū meñ vo dil maujūd hai
jo bhaḌakne meñ nirā bārūd hai
rail gaaḌī radio motor jahāz
is kī ījādoñ kā qissa hai darāz
dast-kārī meñ baḌā mashshāq hai
jiddatoñ kā har ghaḌī mushtāq hai
khol āñkheñ jang kī raftār dekh
dekh is ke ḳhaufnāk auzār dekh
ye kahīñ hākim kahīñ mahkūm hai
ye kahīñ zālim kahīñ mazlūm hai
aadmī jab ġhair ke aage jhukā
ādamiyyat se bhaTaktā hī gayā
aadmī milnā bahut dushvār hai
ḳhud ḳhudā ko aadmī darkār hai
pyāre bachcho aadmī ban kar raho
har kisī ke saath hamdardī karo
sach agar pūchho to bas vo mard hai
jis ke dil meñ dūsroñ kā dard hai
'faiz' pahuñchātā nahīñ jo aadmī
us ko apnī zaat se hai dushmanī
us ko apnī zaat se hai dushmanī
jis qadar duniya mein maKHluqat hai
sab se ashraf aadmi ki zat hai
is ki paidaish mein hai ulfat ka raaz
is ki hasti par hai KHud KHaliq ko naz
is ki KHatir kul jahan paida hua
ye zamin ye aasman paida hua
aql ka jauhar ise baKHsha gaya
ilm ka zewar ise baKHsha gaya
is ke sar mein hai nihan aisa dimagh
jis mein raushan hai liyaqat ka charagh
soch kar har kaam kar sakta hai ye
sher ko bhi ram kar sakta hai ye
ye safai se chaTanen toD de
apni danai se dariya moD de
man-chala hai is ki himmat hai buland
Dal sakta hai sitaron par kamand
is ko KHatron ki nahin parwa zara
aag mein kuda ye suli par chaDha
is ke har andaz mein eajaz hai
arsh tak is nur ki parwaz hai
is ki baaton mein ajab tasir hai
KHak ka putla nahin iksir hai
ye agar neki ke zine par chaDhe
ek din sare farishton se baDhe
aur agar isyan ki daldal mein phanse
is ka darja kam ho haiwanat se
ye kabhi rui se baDh kar narm hai
ye kabhi suraj se baDh kar garm hai
ek haalat par nahin is ka mizaj
har zamane mein badalta hai riwaj
aur tha pahle ye ab kuchh aur hai
aae din is ka nirala taur hai
is ne behad rup badle aaj tak
is ki tadbiron se hairan hai falak
doctor tajir professor wakil
in ka hona hai taraqqi ki dalil
is ke pahlu mein wo dil maujud hai
jo bhaDakne mein nira barud hai
rail gaDi radio motor jahaz
is ki ijadon ka qissa hai daraaz
dast-kari mein baDa mashshaq hai
jiddaton ka har ghaDi mushtaq hai
khol aankhen jang ki raftar dekh
dekh is ke KHaufnak auzar dekh
ye kahin hakim kahin mahkum hai
ye kahin zalim kahin mazlum hai
aadmi jab ghair ke aage jhuka
aadamiyyat se bhaTakta hi gaya
aadmi milna bahut dushwar hai
KHud KHuda ko aadmi darkar hai
pyare bachcho aadmi ban kar raho
har kisi ke sath hamdardi karo
sach agar puchho to bas wo mard hai
jis ke dil mein dusron ka dard hai
'faiz' pahunchata nahin jo aadmi
us ko apni zat se hai dushmani
us ko apni zat se hai dushmani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.