aadmi ka insan hona
sadiyāñ qatār-dar-qatār khaḌī haiñ
apnī jagah sākit-o-jāmid
baḌe tajassus se dekhtī haiñ
ek dūsre se bāteñ kartī haiñ
usī ek mas.ale par
jise hal na kar paane kā afsos hai
peshānī pe bantī bigaḌtī
lakīroñ kī shakl meñ numāyāñ hai
jise hal karne ke liye allāh ne
kitne hī nabī aur autār zamīn par bheje
unhoñ ne apne kalām se is zamīñ ko sarfarāz kiyā
vaqt guzartā rahā guzartā rahā guzartā rahā
magar mas.ala vaise kā vaisā hī hai ab bhī
bilkul pahle kī tarah
balki pahle se bhī zyāda ḳhaufnāk shakl meñ
vahī mas.ala
aadmī ke insān banñe kā
sadiyan qatar-dar-qatar khaDi hain
apni jagah sakit-o-jamid
baDe tajassus se dekhti hain
ek dusre se baaten karti hain
usi ek masale par
jise hal na kar pane ka afsos hai
peshani pe banti bigaDti
lakiron ki shakl mein numayan hai
jise hal karne ke liye allah ne
kitne hi nabi aur autar zamin par bheje
unhon ne apne kalam se is zamin ko sarfaraaz kiya
waqt guzarta raha guzarta raha guzarta raha
magar masala waise ka waisa hi hai ab bhi
bilkul pahle ki tarah
balki pahle se bhi zyaada KHaufnak shakl mein
wahi masala
aadmi ke insan banne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.