aadmi ka nasha
do sharābī daraḳht
apnā baḌā sar hilā hilā kar jhuum rahe haiñ
sūraj ke jaam se
aaj unhoñ ne
kuchh ziyādā hī chaḌhā lī hai
ab vo
apnī shāḳhoñ meñ baiThe
parindoñ kī chahkār se ziyādā
saḌak par chalte traffic ke shor ko
inhimāk se sun rahe haiñ
donoñ sharābī daraḳht
jaḌoñ samet
saḌak par aa gire haiñ
traffic jaam ho jaatā hai
baseñ, kāreñ
scōter aur cycleñ ruk jaatī haiñ
horn bajnā shurūa ho jaate haiñ
magar nashe meñ dhut daraḳht
jaḌoñ samet
saḌak ke bīchoñ biich paḌe haiñ
maiñ ne daraḳht se ek shāḳh toḌī
aur saarī raat
apne aas paas reñgne vaale kīḌoñ ko
mārne meñ guzār dī
sub.h dūsre kīḌoñ ke saath saath
mujhe us kī laash apne pairoñ ke aas paas hī milī
jis ke hukm par maiñ ne apne mashkīze kā paanī
ret par girā diyā thā
aur nañge pair us ke pīchhe ho liyā thā
shāyad maiñ ne añdhere meñ
daraḳht kī shāḳh se use bhī kuchal diyā thā
maiñ ne daraḳht ko dekhā
magar vahāñ to sire se koī daraḳht thā hī nahīñ
maiñ ne aage baḌhne kī Thānī
phir mujhe andāza huā
koī mere saath saath chal rahā hai
maiñ ne use muḳhātib kiyā
aur use mashkīze kā paanī zaa.e karne kā hukm diyā
aur us ke aage aage chalne lagā
do sharabi daraKHt
apna baDa sar hila hila kar jhum rahe hain
suraj ke jam se
aaj unhon ne
kuchh ziyaada hi chaDha li hai
ab wo
apni shaKHon mein baiThe
parindon ki chahkar se ziyaada
saDak par chalte traffic ke shor ko
inhimak se sun rahe hain
donon sharabi daraKHt
jaDon samet
saDak par aa gire hain
traffic jam ho jata hai
basen, karen
scooter aur cyclen ruk jati hain
horn bajna shurua ho jate hain
magar nashe mein dhut daraKHt
jaDon samet
saDak ke bichon bich paDe hain
main ne daraKHt se ek shaKH toDi
aur sari raat
apne aas pas rengne wale kiDon ko
marne mein guzar di
subh dusre kiDon ke sath sath
mujhe us ki lash apne pairon ke aas pas hi mili
jis ke hukm par main ne apne mashkize ka pani
ret par gira diya tha
aur nange pair us ke pichhe ho liya tha
shayad main ne andhere mein
daraKHt ki shaKH se use bhi kuchal diya tha
main ne daraKHt ko dekha
magar wahan to sire se koi daraKHt tha hi nahin
main ne aage baDhne ki Thani
phir mujhe andaza hua
koi mere sath sath chal raha hai
main ne use muKHatib kiya
aur use mashkize ka pani zae karne ka hukm diya
aur us ke aage aage chalne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.