aadmi
jo chāñd par gayā hai so hai vo bhī aadmī
jo gap uḌā rahā hai so hai vo bhī aadmī
jo hañs hañsā rahā hai so hai vo bhī aadmī
jo jī jalā rahā hai so hai vo bhī aadmī
haiñ aadmī ke saare zamāne meñ rañg-rūp
haiñ aadmī hī chāñdnī aur aadmī hī dhuup
hai aadmī hazāroñ kā aur ek paa.ī kā
aadhā hai apnī maañ kā to aadhā hai daa.ī kā
pesha bhī aadmī ne sambhālā gadā.ī kā
da.avā bhī aadmī ne kiyā hai ḳhudā.ī kā
gorā bhī aadmī hai to kaalā bhī aadmī
buzdil bhī aadmī hai jiyālā bhī aadmī
jab aadmī ke dil ko churātā hai aadmī
siine se apne us ko lagātā hai aadmī
aur is tarah se umr baḌhātā hai aadmī
mushkil se is jahān se jaatā hai aadmī
jaatā kahāñ hai ḳhud vo pakaḌvāyā jaatā hai
ya.anī farishta bhej ke bulvāyā jaatā hai
Daalā hai aadmī ne har ik aadmī pe jaal
''hai aadmī bajā.e ḳhud ik mahshar-e-ḳhayāl''
niklā tamām umr kī koshish kā ye ma.aal
aayā thā rotā pīTtā jaatā hai ḳhasta-hāl
is par ye haal hai ki akaḌtā hai aadmī
ġhairoñ se aur apnoñ se laḌtā hai aadmī
ye aadmī laḌā.ī ko vietnam meñ gayā
vo korea gayā kabhī āsām meñ gayā
vo telaviv o qāhira o shaam meñ gayā
ye aadmī hī muttahid-aqvām meñ gayā
phir aadmī ko amn sikhātā hai aadmī
bhaiñsoñ ke aage biin bajātā hai aadmī
iblīs ko fareb sikhātā rahā hai vo
aur shobade hazār dikhātā rahā hai vo
aalam ko uñgliyoñ pe nachātā rahā hai vo
ham ko jazā sazā se Darātā rahā hai vo
dozaḳh se va.az kah ke bachātā hai aadmī
par ḳhud kabhī kabhī vahīñ jaatā hai aadmī
hai aadmī jo kartā hai sab sīna-zoriyāñ
kartā hai lūTne ke liye naf.a-ḳhoriyāñ
bhartā hai is bahāne se apnī tijoriyāñ
dushman ko bech khātā hai gandum kī boriyāñ
chīzoñ kī qīmatoñ ko baḌhātā hai aadmī
aur gāhakoñ ko ḳhuun rulātā hai aadmī
jo chand par gaya hai so hai wo bhi aadmi
jo gap uDa raha hai so hai wo bhi aadmi
jo hans hansa raha hai so hai wo bhi aadmi
jo ji jala raha hai so hai wo bhi aadmi
hain aadmi ke sare zamane mein rang-rup
hain aadmi hi chandni aur aadmi hi dhup
hai aadmi hazaron ka aur ek pai ka
aadha hai apni man ka to aadha hai dai ka
pesha bhi aadmi ne sambhaala gadai ka
dawa bhi aadmi ne kiya hai KHudai ka
gora bhi aadmi hai to kala bhi aadmi
buzdil bhi aadmi hai jiyala bhi aadmi
jab aadmi ke dil ko churaata hai aadmi
sine se apne us ko lagata hai aadmi
aur is tarah se umr baDhata hai aadmi
mushkil se is jahan se jata hai aadmi
jata kahan hai KHud wo pakaDwaya jata hai
yani farishta bhej ke bulwaya jata hai
Dala hai aadmi ne har ek aadmi pe jal
hai aadmi bajae KHud ek mahshar-e-KHayal
nikla tamam umr ki koshish ka ye maal
aaya tha rota piTta jata hai KHasta-haal
is par ye haal hai ki akaDta hai aadmi
ghairon se aur apnon se laDta hai aadmi
ye aadmi laDai ko wietnam mein gaya
wo korea gaya kabhi aasam mein gaya
wo telawiw o qahira o sham mein gaya
ye aadmi hi muttahid-aqwam mein gaya
phir aadmi ko amn sikhata hai aadmi
bhainson ke aage bin bajata hai aadmi
iblis ko fareb sikhata raha hai wo
aur shobade hazar dikhata raha hai wo
aalam ko ungliyon pe nachata raha hai wo
hum ko jaza saza se Daraata raha hai wo
dozaKH se waz kah ke bachata hai aadmi
par KHud kabhi kabhi wahin jata hai aadmi
hai aadmi jo karta hai sab sina-zoriyan
karta hai luTne ke liye nafa-KHoriyan
bharta hai is bahane se apni tijoriyan
dushman ko bech khata hai gandum ki boriyan
chizon ki qimaton ko baDhata hai aadmi
aur gahakon ko KHun rulata hai aadmi
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 137)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.