aadmi
tausīf-e-be-kanār kā haqdār aadmī
duniyā-e-shash-jihāt kā sardār aadmī
sach pūchhiye agar to hai donoñ jahān meñ
taḳhlīq-e-zul-jalāl kā shahkār aadmī
ḳhuñḳhār aadmī kahīñ ġham-ḳhvār aadmī
dīñ-dār aadmī ki gunāhgār aadmī
aadam ke donoñ beToñ kī sūrat jahān meñ
hai aadmī se barsar-e-paikār aadmī
nādār aadmī koī zardār aadmī
ḳharkār aadmī koī begār aadmī
hai turfa ik tamāshā pas-e-ādmī sadā
parde pe zindagī ke adākār aadmī
zālim hai aadmī kabhī mazlūm aadmī
ayyār aadmī kabhī ma.asūm aadmī
uljhā huā hai aisā man-o-tū ke darmiyāñ
masrūr aadmī kabhī maġhmūm aadmī
hai shaad aadmī kabhī nāshād aadmī
hai said aadmī kabhī sayyād aadmī
hai aadmī ke ruup meñ bahrūp har taraf
hirs-o-havā ke daur meñ barbād aadmī
majbūr aadmī kabhī mansūr aadmī
aajar hai aadmī kabhī mazdūr aadmī
har lamha ik tazād hai is kī sarisht meñ
aajiz hai aadmī kabhī mafrūr aadmī
qudsī se bhī baḌā hai ye nāchīz aadmī
mahbūb-e-kibriyā hai ye nāchīz aadmī
zulmat-ba-dosh dahr meñ dekho jo ġhaur se
tanvīr-e-be-bahā hai ye nāchīz aadmī
tasvīr-e-sad-nigār hai duniyā meñ aadmī
paiġhambar-e-bahār hai duniyā meñ aadmī
sach pochhiye to vus.at-e-insāñ kī had nahīñ
ik bahr-e-be-kanār hai duniyā meñ aadmī
tausif-e-be-kanar ka haqdar aadmi
duniya-e-shash-jihat ka sardar aadmi
sach puchhiye agar to hai donon jahan mein
taKHliq-e-zul-jalal ka shahkar aadmi
KHunKHar aadmi kahin gham-KHwar aadmi
din-dar aadmi ki gunahgar aadmi
aadam ke donon beTon ki surat jahan mein
hai aadmi se barsar-e-paikar aadmi
nadar aadmi koi zardar aadmi
KHarkar aadmi koi begar aadmi
hai turfa ek tamasha pas-e-admi sada
parde pe zindagi ke adakar aadmi
zalim hai aadmi kabhi mazlum aadmi
ayyar aadmi kabhi masum aadmi
uljha hua hai aisa man-o-tu ke darmiyan
masrur aadmi kabhi maghmum aadmi
hai shad aadmi kabhi nashad aadmi
hai said aadmi kabhi sayyaad aadmi
hai aadmi ke rup mein bahrup har taraf
hirs-o-hawa ke daur mein barbaad aadmi
majbur aadmi kabhi mansur aadmi
aajar hai aadmi kabhi mazdur aadmi
har lamha ek tazad hai is ki sarisht mein
aajiz hai aadmi kabhi mafrur aadmi
qudsi se bhi baDa hai ye nachiz aadmi
mahbub-e-kibriya hai ye nachiz aadmi
zulmat-ba-dosh dahr mein dekho jo ghaur se
tanwir-e-be-baha hai ye nachiz aadmi
taswir-e-sad-nigar hai duniya mein aadmi
paighambar-e-bahaar hai duniya mein aadmi
sach pochhiye to wusat-e-insan ki had nahin
ek bahr-e-be-kanar hai duniya mein aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.