aafaqi Dakiye
mere ghar ko aatī bal khātī pagDanDī kināre
ka.ī rang ke phuul khile hue haiñ
maiñ aate jaate
jin se ham-kalām hotī huuñ
ki aaj ke mashīnī daur meñ
vo mere āfāqī Dākiye haiñ
jin kī ḳhushbū meñ mere ḳhvāboñ kī ta.abīr pinhāñ hai
jin ke rangoñ meñ mere kuñvar mere kanhaiyā ke hone kā nishāñ nihāñ hai
maiñ har roz jin ke dāman meñ apnī taqdīr kī shatranj bichhātī huuñ
un ke mukh pe khile rang ko sidq-e-dil se
vaqt kā uglā mohrā gardāntī huuñ
mere phuul mere Dākiye
jo kabhī jāmunī rang oḌh kar
āmad-e-bahār kā mīThā giit bante haiñ
jo kabhī niile rang meñ gungunā kar
duur dishāoñ meñ riste malāl kī sadā bante haiñ
jo kabhī safed rang meñ hañs kar
merī be-sūd mohabbatoñ kā madfan bante haiñ
mujhe un phūloñ kī zabāñ kā ilm hai
maiñ rangoñ se achchhe se vāqif huuñ
ki maiñ vo zamīn-zādī huuñ
jis kī bhūrī āñkhoñ meñ sitāroñ kī raushnī
miTTī ke pardoñ se Dhakī paḌī hai
mere ghar ko aati bal khati pagDanDi kinare
kai rang ke phul khile hue hain
main aate jate
jin se ham-kalam hoti hun
ki aaj ke mashini daur mein
wo mere aafaqi Dakiye hain
jin ki KHushbu mein mere KHwabon ki tabir pinhan hai
jin ke rangon mein mere kunwar mere kanhaiya ke hone ka nishan nihan hai
main har roz jin ke daman mein apni taqdir ki shatranj bichhati hun
un ke mukh pe khile rang ko sidq-e-dil se
waqt ka ugla mohra gardanti hun
mere phul mere Dakiye
jo kabhi jamuni rang oDh kar
aamad-e-bahaar ka miTha git bante hain
jo kabhi nile rang mein gunguna kar
dur dishaon mein riste malal ki sada bante hain
jo kabhi safed rang mein hans kar
meri be-sud mohabbaton ka madfan bante hain
mujhe un phulon ki zaban ka ilm hai
main rangon se achchhe se waqif hun
ki main wo zamin-zadi hun
jis ki bhuri aankhon mein sitaron ki raushni
miTTi ke pardon se Dhaki paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.