aafat machchharon ki
aayā hai le ke mausam sauġhāt machchharoñ kī
har samt ho rahī hai barsāt machchharoñ kī
kam-zāt machchharoñ kī bad-zāt machchharoñ kī
ham ḳhuub jānte haiñ auqāt machchharoñ kī
dete haiñ hasb-e-ādat bīmāriyoñ ko dāvat
kar kar ke ham ziyāfat din-rāt machchharoñ kī
hai mājrā ye kaisā kyā qahr hai ḳhudā kā
nāzil jo ho rahī haiñ āfāt machchharoñ kī
aatī haiñ hañstī gaatī jaatī haiñ gungunātī
afvāj machchharoñ kī bārāt machchharoñ kī
bichchhū se bhī ziyāda zahrīle ho chuke haiñ
kuchh baḌh chukī hai itnī auqāt machchharoñ kī
phailā ke kyoñ ġhalāzat ālūdgī najāsat
karte haiñ parvarish kyoñ hālāt machchharoñ kī
har chiiz se anokhī har shai se haiñ nirālī
atvār machchharoñ ke harkāt machchharoñ kī
chaltī haiñ saa.eñ saa.eñ jab tez-tar havā.eñ
bantī haiñ bin banā.e kuchh baat machchharoñ kī
is daur meñ hai qillat har chiiz kī magar hai
ifrāt machchharoñ kī bohtāt machchharoñ kī
apnā lahū pilā kar ham log 'rāhī' aksar
karte rahe tavāzo.a din-rāt machchharoñ kī
aaya hai le ke mausam saughat machchharon ki
har samt ho rahi hai barsat machchharon ki
kam-zat machchharon ki bad-zat machchharon ki
hum KHub jaante hain auqat machchharon ki
dete hain hasb-e-adat bimariyon ko dawat
kar kar ke hum ziyafat din-raat machchharon ki
hai majra ye kaisa kya qahr hai KHuda ka
nazil jo ho rahi hain aafat machchharon ki
aati hain hansti gati jati hain gungunati
afwaj machchharon ki baraat machchharon ki
bichchhu se bhi ziyaada zahrile ho chuke hain
kuchh baDh chuki hai itni auqat machchharon ki
phaila ke kyon ghalazat aaludgi najasat
karte hain parwarish kyon haalat machchharon ki
har chiz se anokhi har shai se hain nirali
atwar machchharon ke harkat machchharon ki
chalti hain saen saen jab tez-tar hawaen
banti hain bin banae kuchh baat machchharon ki
is daur mein hai qillat har chiz ki magar hai
ifraat machchharon ki bohtat machchharon ki
apna lahu pila kar hum log 'rahi' aksar
karte rahe tawazoa din-raat machchharon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.