aag ke pas
pīr-e-vāmāñda koī
coat pe mehnat kī siyāhī ke nishāñ
naujavāñ beTe kī gardan kī chamak dekhtā huuñ
ik raqābat kī siyah lahr bahut tez
mire sīna-e-sozāñ se guzar jaatī hai
jis tarah taaq pe rakkhe hue gul-dāñ kī
mas-o-sīm ke kāsoñ kī chamak
aur gulū uljhe hue tāroñ se bhar jaatā hai
ko.ele aag meñ jalte hue
kin yādoñ kī kis raat meñ
jal jaate haiñ
kyā inhī kānoñ kī yādoñ meñ jahāñ
sālhā-sāl ye āsūda rahe
unhī be-āb daraḳhtoñ ke vo jañgal
jinheñ pīrāna-sarī baar huī jaatī thī
ko.ele lākhoñ baras daur ke ḳhvāboñ meñ ulajh jaate haiñ
aaj shab bhī vo baḌī der se
ghar lauTā hai
us ke alfāz ko
in rañgoñ se āvāzoñ se kyā rabt
jo is ġham-zada ghar ke ḳhas-o-ḳhāshāk meñ haiñ
us ko is mez par bikhrī huī
ḳhushbuoñ ke jañgal se ġharaz
aaj bhī apne aqīde pe ba-dastūr
ba-zid qaa.em hai
vo daraḳhtoñ ke tanomand tane
apne ā.inda ke ḳhvāboñ meñ asiir
gard-bād aa hī ga.e
un kī rihā.ī kā vasīla ban kar
ḳhud se mahjūrī-e-nāgāh kā hiila ban kar
aa.e aur chal bhī diye
tūl-e-alamnāk kī dahlīz pe
ruḳhsat kah kar
aur vo lākhoñ baras soch meñ
ā.inda ke mauhūm meñ ḳhvābīda rahe
mere beTe tujhe kuchh yaad bhī hai
maiñ ne bhī shor machāyā thā kabhī
ḳhaak ke bigḌe hue chehre ke ḳhilāf
lahn be-rañg huā sun ke
mirī jaañ bhī pukār uThī thī
maiñ kabhī ek anā aur kabhī do kā sahārā letā
apnī sāthī se maiñ kah uThtā ki jaago ai jaan
harānā tīra-bayābāñ meñ
bhaTakte hue pattoñ kā hujūm
merā Dar mujh ko nigal jā.egā
mere kānoñ meñ mire karb kī āvāz
palaT aatī thī
tujhe be-kār ḳhudāoñ pe yaqīñ
ab bhī nahīñ
ab bhī nahīñ
aaj bhī apne hī ilhād kī kursī meñ
paḌā ūñghtā huuñ
naujavāñ beTe ke alfāz pe chauñk uThtā huuñ
tū ne beTe
ye ajab ḳhvāb sunāyā hai mujhe
apnā ye ḳhvāb kisī aur se hargiz na kaho
kabhī āhista se darvāza jo khultā hai to hañs detā huuñ
ye bhī is baat kī sarsar kī
na.ī chaal nayā dhokā hai
phuul yā pariyāñ banāne kā koī nusḳha
mire paas nahīñ hai beTe
mujhe fardāoñ ke sahrā se bhī
afsūn-e-rivāyat kī lahak aatī hai
aag meñ ko.ele bujhne kī tamannā na karo
in se ā.inda ke miTte hue āsār
ubhar ā.eñge
in guzarte hue lamhāt kī tanhā.ī meñ
kaisā ye ḳhvāb sunāyā hai mujhe tū ne abhī
nahīñ har ek se
har ek se ye ḳhvāb kaho
is se jaag uThtā hai
soyā huā majzūb
mirī aag ke paas
aise majzūb ko ik ḳhvāb bahut
ḳhvāb bahut ḳhvāb bahut
aise har mast ko
ik ḳhvāb bahut
pir-e-wamanda koi
coat pe mehnat ki siyahi ke nishan
naujawan beTe ki gardan ki chamak dekhta hun
ek raqabat ki siyah lahr bahut tez
mere sina-e-sozan se guzar jati hai
jis tarah taq pe rakkhe hue gul-dan ki
mas-o-sim ke kason ki chamak
aur gulu uljhe hue taron se bhar jata hai
koele aag mein jalte hue
kin yaadon ki kis raat mein
jal jate hain
kya inhi kanon ki yaadon mein jahan
salha-sal ye aasuda rahe
unhi be-ab daraKHton ke wo jangal
jinhen pirana-sari bar hui jati thi
koele lakhon baras daur ke KHwabon mein ulajh jate hain
aaj shab bhi wo baDi der se
ghar lauTa hai
us ke alfaz ko
in rangon se aawazon se kya rabt
jo is gham-zada ghar ke KHas-o-KHashak mein hain
us ko is mez par bikhri hui
KHushbuon ke jangal se gharaz
aaj bhi apne aqide pe ba-dastur
ba-zid qaem hai
wo daraKHton ke tanomand tane
apne aainda ke KHwabon mein asir
gard-baad aa hi gae
un ki rihai ka wasila ban kar
KHud se mahjuri-e-nagah ka hila ban kar
aae aur chal bhi diye
tul-e-alamnak ki dahliz pe
ruKHsat kah kar
aur wo lakhon baras soch mein
aainda ke mauhum mein KHwabida rahe
mere beTe tujhe kuchh yaad bhi hai
main ne bhi shor machaya tha kabhi
KHak ke bigDe hue chehre ke KHilaf
lahn be-rang hua sun ke
meri jaan bhi pukar uThi thi
main kabhi ek ana aur kabhi do ka sahaara leta
apni sathi se main kah uThta ki jago ai jaan
harana tira-bayaban mein
bhaTakte hue patton ka hujum
mera Dar mujh ko nigal jaega
mere kanon mein mere karb ki aawaz
palaT aati thi
tujhe be-kar KHudaon pe yaqin
ab bhi nahin
ab bhi nahin
aaj bhi apne hi ilhad ki kursi mein
paDa unghta hun
naujawan beTe ke alfaz pe chaunk uThta hun
tu ne beTe
ye ajab KHwab sunaya hai mujhe
apna ye KHwab kisi aur se hargiz na kaho
kabhi aahista se darwaza jo khulta hai to hans deta hun
ye bhi is baat ki sarsar ki
nai chaal naya dhoka hai
phul ya pariyan banane ka koi nusKHa
mere pas nahin hai beTe
mujhe fardaon ke sahra se bhi
afsun-e-riwayat ki lahak aati hai
aag mein koele bujhne ki tamanna na karo
in se aainda ke miTte hue aasar
ubhar aaenge
in guzarte hue lamhat ki tanhai mein
kaisa ye KHwab sunaya hai mujhe tu ne abhi
nahin har ek se
har ek se ye KHwab kaho
is se jag uThta hai
soya hua majzub
meri aag ke pas
aise majzub ko ek KHwab bahut
KHwab bahut KHwab bahut
aise har mast ko
ek KHwab bahut
- Book : Kulliat-e-Rashid (Pg. 408)
- Author : Noon Meem Rashid
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi-6 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.