aag ki pyas
Interesting Fact
(Paris, 26th February 1984)
maiñ aag bhī thā aur pyāsā bhī
tū mom thī aur gañgā-jal bhī
maiñ lipaT lipaT kar
bhaḌak bhaḌak kar
pyaas bujhātī āñkhoñ meñ bujh jaatā thā
vo āñkheñ sapne vaalī sī
sapnā jis meñ ik bastī thī
bastī kā chhoTā sā pul thā
so.e so.e dariyā ke sañg
peḌoñ kā mīloñ saaya thā
pul ke nīche aksar ghanToñ
ik chāñd pighalte dekhā thā
ab yaad meñ pighlī aag bhī hai
āñkhoñ meñ bahtā paanī bhī
maiñ aag bhī thā aur pyāsā bhī
main aag bhi tha aur pyasa bhi
tu mom thi aur ganga-jal bhi
main lipaT lipaT kar
bhaDak bhaDak kar
pyas bujhati aankhon mein bujh jata tha
wo aankhen sapne wali si
sapna jis mein ek basti thi
basti ka chhoTa sa pul tha
soe soe dariya ke sang
peDon ka milon saya tha
pul ke niche aksar ghanTon
ek chand pighalte dekha tha
ab yaad mein pighli aag bhi hai
aankhon mein bahta pani bhi
main aag bhi tha aur pyasa bhi
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 76)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.