aag
ab qalam meñ
ek rañgīñ itr bhar lo
tum hasīñ phūloñ ke shā.ir ho koī zālim na kah de
shola-e-ehsās ke kāġhaz pe kuchh likhne chalā thā
aur kāġhaz pahle hī ik raakh sā thā
baat vāzeh hī nahīñ hai
shā.ir-e-gul
dā.ere sab maslahat-bīnī ke ab mauhūm se haiñ
baat khul kar kah na paa.e tum
to bas zero rahoge
ab qalam meñ aag bhar lo
aag tum ko raakh kar dene se pahle soch legī
zinda rahne do ise
shāyad ye merī laaj rakh le
log ab tak aag ke ma.anī ġhalat samjhe hue haiñ
aag aañsū aag shabnam
aag aadam ke rabāb-e-avvalīñ kā giit
ab qalam mein
ek rangin itr bhar lo
tum hasin phulon ke shair ho koi zalim na kah de
shola-e-ehsas ke kaghaz pe kuchh likhne chala tha
aur kaghaz pahle hi ek rakh sa tha
baat wazeh hi nahin hai
shair-e-gul
daere sab maslahat-bini ke ab mauhum se hain
baat khul kar kah na pae tum
to bas zero rahoge
ab qalam mein aag bhar lo
aag tum ko rakh kar dene se pahle soch legi
zinda rahne do ise
shayad ye meri laj rakh le
log ab tak aag ke mani ghalat samjhe hue hain
aag aansu aag shabnam
aag aadam ke rabab-e-awwalin ka git
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.