aagha-hashr kashmiri
bazm-e-ālam meñ vo kaifiyāt-e-rañg-o-bū nahīñ
raunaq-e-aivān-e-getī aaj shāyad tū nahīñ
aah kyā tū pur-sukūñ hai qabr kī āġhosh meñ
chain kyūñkar aa gayā is mahshar-e-ḳhāmosh meñ
sarmadī naġhmāt se ab dil ko taḌpā.egā kaun
ab sitāre āsmāñ se toḌ kar lā.egā kaun
majlisī la.anat par ab tanqīd farmā.egā kaun
aur use rañgīn pairā.e meñ samjhā.egā kaun
aah ab kis se suneñge ātishīñ naġhmāt ham
aah ab kis se kaheñge apne ehsāsāt ham
hind kī doshīza devī ko diyā saada libās
tere hī pur-kaif naġhmoñ ne bujhā.ī dil kī pyaas
maġhribī tahzīb meñ Duubā huā thā har javāñ
mashriqī atvār se bezār thā hindostāñ
tū ne apne dil kī chiñgārī se bhaḌkā.ī vo aag
naġhma-e-mashriq se dab kar rah gayā maġhrib kā raag
saaz terā ātishīñ āvāz tūfānī tirī
hashr tak yaad aa.egī vo hashr-sāmānī tirī
bazm-e-alam mein wo kaifiyat-e-rang-o-bu nahin
raunaq-e-aiwan-e-geti aaj shayad tu nahin
aah kya tu pur-sukun hai qabr ki aaghosh mein
chain kyunkar aa gaya is mahshar-e-KHamosh mein
sarmadi naghmat se ab dil ko taDpaega kaun
ab sitare aasman se toD kar laega kaun
majlisi lanat par ab tanqid farmaega kaun
aur use rangin pairae mein samjhaega kaun
aah ab kis se sunenge aatishin naghmat hum
aah ab kis se kahenge apne ehsasat hum
hind ki doshiza dewi ko diya sada libas
tere hi pur-kaif naghmon ne bujhai dil ki pyas
maghribi tahzib mein Duba hua tha har jawan
mashriqi atwar se bezar tha hindostan
tu ne apne dil ki chingari se bhaDkai wo aag
naghma-e-mashriq se dab kar rah gaya maghrib ka rag
saz tera aatishin aawaz tufani teri
hashr tak yaad aaegi wo hashr-samani teri
- Subh-e-Mashriq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.