aaghaz
sukūñ bharī
kisī ḳhāmosh jhiil ke kināre
amaltās sī maiñ
mausam-e-bahār meñ
mohabbat ke jazīre se aatī
pur-asar havāoñ ke jhoñkoñ kī
guftugū suntī huuñ
kisī ajnabī sī zabān meñ
kuchh an-kahe se lafz haiñ
kisī jaane pahchāne se kirdār kī
kuchh na.ī na.ī sī āvāz hai
kisī sune sune se fasāne ke
kuchh an-dekhe andāz haiñ
maiñ dekhtī huuñ ki kuchh na.e na.e se phuul
merī sharmīlī sī Tahniyoñ meñ
kuchh nārañgī sā rañg liye hue hai
koī nashīlī sī mahak hai
ye kaisī kahānī hai
ye kyā rañg hai
sukun bhari
kisi KHamosh jhil ke kinare
amaltas si main
mausam-e-bahaar mein
mohabbat ke jazire se aati
pur-asar hawaon ke jhonkon ki
guftugu sunti hun
kisi ajnabi si zaban mein
kuchh an-kahe se lafz hain
kisi jaane pahchane se kirdar ki
kuchh nai nai si aawaz hai
kisi sune sune se fasane ke
kuchh an-dekhe andaz hain
main dekhti hun ki kuchh nae nae se phul
meri sharmili si Tahniyon mein
kuchh narangi sa rang liye hue hai
koi nashili si mahak hai
ye kaisi kahani hai
ye kya rang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.