aagahi
maiñ jab tifl-e-maktab thaa, har baat, har falsafa jāntā thā
khaḌe ho ke mimbar pe pahroñ salātīn-e-pārīn-o-hāzir
hikāyāt-shīrīñ-o-talḳh un kii, un ke daraḳhshāñ jarā.em
jo safhāt-e-tārīḳh par kārnāme haiñ, un ke avāmir
navāhī, hakīmoñ ke aqvāl, daanā ḳhatīboñ ke ḳhutbe
jinheñ mustamanadoñ ne baaqī rakkhā us kā maḳhfī o zāhir
funūn-e-latīfa ḳhudāvand ke hukm-nāme, farāmīn
jinheñ masḳh karte rahe pīr-zāde jahāñ ke anāsir
har ik saḳht mauzū par is tarah boltā thā ki mujh ko
samundar samajhte the sab ilm o fan kaa, har ik merī ḳhātir
tag-o-dau meñ rahtā thaa, lekin yakāyak huā kyā ye mujh ko
ye mahsūs hotā hai sote se uTThā huuñ, hilne se qāsir
kisī bahr ke suune sāhil pe baiThā huuñ gardan jhukā.e
sar-e-shām aa.ī hai dekho to hai āgahī kitnī shātir!
main jab tifl-e-maktab tha, har baat, har falsafa jaanta tha
khaDe ho ke mimbar pe pahron salatin-e-parin-o-hazir
hikayat-shirin-o-talKH un ki, un ke daraKHshan jaraem
jo safhat-e-tariKH par karname hain, un ke awamir
nawahi, hakimon ke aqwal, dana KHatibon ke KHutbe
jinhen mustamanadon ne baqi rakkha us ka maKHfi o zahir
funun-e-latifa KHudawand ke hukm-name, faramin
jinhen masKH karte rahe pir-zade jahan ke anasir
har ek saKHt mauzu par is tarah bolta tha ki mujh ko
samundar samajhte the sab ilm o fan ka, har ek meri KHatir
tag-o-dau mein rahta tha, lekin yakayak hua kya ye mujh ko
ye mahsus hota hai sote se uTTha hun, hilne se qasir
kisi bahr ke sune sahil pe baiTha hun gardan jhukae
sar-e-sham aai hai dekho to hai aagahi kitni shatir!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.