aagahi ka dukh
āgahī kā dukh tum kyā jaano
kis aziyyat se guzarnā paḌtā hai
jab is ke saañp
gale meñ lipaT jaate haiñ
aur bhīñchte haiñ
sāñseñ ruk jaatī haiñ
baar baar phunkārte aur Daste haiñ
sub.h-o-shām rāt-din
un kā zahr rag-o-pai meñ utar jaatā hai
mere lahū meñ sarāyat kartā hai
maiñ TūTtī phūTtī rahtī huuñ
kāñch kī tarah
ret kī tarah
khankhanātī huī miTTī kī tarah
merī nas nas se lahū bahtā hai
shaam hī se mere bistar par aasan jamā lete haiñ
mujhe sone nahīñ dete
karvaT karvaT mujhe Daste haiñ
lekin ye saañp maiñ ne ḳhud
apne lahū se paale haiñ
apne vajūd ke andar
'shakeb' 'sarvat' aur ‘sāra’ ne bhī paale the
unheñ bhī niiñd nahīñ aatī thī
āḳhir-e-kār vo rail kī paTrī par jā kar
mīThī niiñd so ga.e
shāyad ye
rail kī sīTiyoñ se bahut Darte haiñ
rail kī paTrī ko paar nahīñ kar paate
aagahi ka dukh tum kya jaano
kis aziyyat se guzarna paDta hai
jab is ke sanp
gale mein lipaT jate hain
aur bhinchte hain
sansen ruk jati hain
bar bar phunkarte aur Daste hain
subh-o-sham raat-din
un ka zahr rag-o-pai mein utar jata hai
mere lahu mein sarayat karta hai
main TuTti phuTti rahti hun
kanch ki tarah
ret ki tarah
khankhanati hui miTTi ki tarah
meri nas nas se lahu bahta hai
sham hi se mere bistar par aasan jama lete hain
mujhe sone nahin dete
karwaT karwaT mujhe Daste hain
lekin ye sanp main ne KHud
apne lahu se pale hain
apne wajud ke andar
'shakeb' 'sarwat' aur ‘sara’ ne bhi pale the
unhen bhi nind nahin aati thi
aaKHir-e-kar wo rail ki paTri par ja kar
miThi nind so gae
shayad ye
rail ki siTiyon se bahut Darte hain
rail ki paTri ko par nahin kar pate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.