aagahi ke virane
chāñd ne
dāġhoñ ko dhonā chāhā
taaki pur-nūr badan
vādī-e-ehsās ko raushan kar de
chashma-e-sub.h kī jānib
vo baḌhā jaise hī
marmarīñ kirnoñ pe
saffāk añdheroñ kā hujūm
hamla-āvar huā
qazzāq-e-ajal kī mānind
TuuT kar chāñd girā ġhār-e-siyah meñ āñkheñ
bujh ga.iiñ mahfil-e-anjum kī subuk-rau sham.eñ
sar nigūñ mohr-ba-lab pahle to kuchh der jalīñ
taab baaqī na rahī jab to siyah-posh huiiñ
aur phir chaar taraf
raat kā āñchal phailā
chand ne
daghon ko dhona chaha
taki pur-nur badan
wadi-e-ehsas ko raushan kar de
chashma-e-subh ki jaanib
wo baDha jaise hi
marmarin kirnon pe
saffak andheron ka hujum
hamla-awar hua
qazzaq-e-ajal ki manind
TuT kar chand gira ghaar-e-siyah mein aankhen
bujh gain mahfil-e-anjum ki subuk-rau shamen
sar nigun mohr-ba-lab pahle to kuchh der jalin
tab baqi na rahi jab to siyah-posh huin
aur phir chaar taraf
raat ka aanchal phaila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.