aagahi
hauz ke saath saath ugī sabz ghaas par
dhuup kī larzisheñ
dhīmī dhīmī duudh kī be-maza kachchī kachchī mahak
āgahī
āñkheñ
āñkhoñ ke andar bhī āñkheñ ug aa.ī haiñ
kyā
ghaas kī shāḳh hotī nahīñ na sahī
ghaas kī shāḳh se phir bhī
chimTe huī sabz TiDDe ne bharpūr sī niiñd meñ
jāgte lahlahāte
palkeñ jhapakte hue phuul ko khā liyā
hauz ke sath sath ugi sabz ghas par
dhup ki larzishen
dhimi dhimi dudh ki be-maza kachchi kachchi mahak
aagahi
aankhen
aankhon ke andar bhi aankhen ug aai hain
kya
ghas ki shaKH hoti nahin na sahi
ghas ki shaKH se phir bhi
chimTe hui sabz TiDDe ne bharpur si nind mein
jagte lahlahate
palken jhapakte hue phul ko kha liya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 609)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.