aagahi
zindagī kyā hai raushnī ke sivā
raushnī kyā hai ik ḳhushī ke sivā
ye ḳhushī vādiyoñ kī chhāñv meñ
nāchtī hai har ek pattī par
chuum letī hai bādaloñ ke hisār
uḌtī phirtī hai sukh kī bastī par
mere dil meñ humak rahī hai abhī
ātishīñ rañg ye kiran hī to hai
aañkh meñ diip jal uThe hoñ jahāñ
ye ḳhushī ik hasīñ milan hī to hai
apne hone pe sharmsār na ho
ye ḳhushī tujh ko bhī bulā.egī
raat kitnī hī ghup añdherī ho
raat āḳhir guzar hī jā.egī
zindagī raushnī kī chāhat meñ
ik nayā azm le kar uTThegī
toḌ Dālegī zulmatoñ kī fasīl
ik na.ī sub.h le ke utregī
zindagī raushnī ke raste meñ
apnā sab kuchh luTāne aa.ī hai
apne sūraj kī aarzū le kar
in añdheroñ ko Dhāne aa.ī hai
kyā huā gar hameñ sahar na milī
ek ḳhvāhish to chhoḌ jā.eñge
aane vaalī havāoñ ke ruḳh par
āgahī kā diyā jalā.eñge
zindagi kya hai raushni ke siwa
raushni kya hai ek KHushi ke siwa
ye KHushi wadiyon ki chhanw mein
nachti hai har ek patti par
chum leti hai baadalon ke hisar
uDti phirti hai sukh ki basti par
mere dil mein humak rahi hai abhi
aatishin rang ye kiran hi to hai
aankh mein dip jal uThe hon jahan
ye KHushi ek hasin milan hi to hai
apne hone pe sharmsar na ho
ye KHushi tujh ko bhi bulaegi
raat kitni hi ghup andheri ho
raat aaKHir guzar hi jaegi
zindagi raushni ki chahat mein
ek naya azm le kar uTThegi
toD Dalegi zulmaton ki fasil
ek nai subh le ke utregi
zindagi raushni ke raste mein
apna sab kuchh luTane aai hai
apne suraj ki aarzu le kar
in andheron ko Dhane aai hai
kya hua gar hamein sahar na mili
ek KHwahish to chhoD jaenge
aane wali hawaon ke ruKH par
aagahi ka diya jalaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.