aah be-tasir
abhī ham āh-e-be-tāsīr kī tāsīr dekheñge
abhī taqdīr se uljhī huī tadbīr dekheñge
bahut dushvār hai dāman chhuḌā kar yuuñ nikal jaanā
qayāmat tak vo merī ḳhaak dāman-gīr dekheñge
tire gesū ke saudā.ī tirī zulfoñ ke dīvāne
sahar tak ḳhvāb meñ uḌtī huī zanjīr dekheñge
hamāre sāmne tum ho tumhāre sāmne ham haiñ
na dekhī thī na dekhī hai na ye tasvīr dekheñge
hamārī ḳhaak uḌ kar āstān-e-yār tak pahuñche
kabhī aisī bhī gardish gardish-e-taqdīr dekheñge
agar fursat milī ham ko zamāne kī kashākash se
tujhe bhī ek din ai āh-e-pur-tāsīr dekheñge
abhi hum aah-e-be-tasir ki tasir dekhenge
abhi taqdir se uljhi hui tadbir dekhenge
bahut dushwar hai daman chhuDa kar yun nikal jaana
qayamat tak wo meri KHak daman-gir dekhenge
tere gesu ke saudai teri zulfon ke diwane
sahar tak KHwab mein uDti hui zanjir dekhenge
hamare samne tum ho tumhaare samne hum hain
na dekhi thi na dekhi hai na ye taswir dekhenge
hamari KHak uD kar aastan-e-yar tak pahunche
kabhi aisi bhi gardish gardish-e-taqdir dekhenge
agar fursat mili hum ko zamane ki kashakash se
tujhe bhi ek din ai aah-e-pur-tasir dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.