aah gokhale
kyoñ yaas ho na mujh ko bahbūd-e-hindiyāñ se
suntī huuñ gokhale bhī ruḳhsat hue jahāñ se
kab tak bañdhā rahegā tāñtā musībatoñ kā
kab tak najāt hogī is saḳht imtihāñ se
baḌhtī huī umīdeñ uThtī huī umangeñ
miTTī meñ mil ga.iiñ sab is marg-e-nā-gahāñ se
afsos mulk-bhar meñ ho ik charāġh vo bhī
bujh jaa.e jalte jalte soz-e-ġham-e-nihāñ se
maatā kī pahle sevā sehat kī fikr pīchhe
aisā supūt bhārat ab lā.egī kahāñ se
hubb-e-vatan hameñ bhī aur gokhle ko bhī thī
par thā vahāñ ta'alluq dil se yahāñ zabāñ se
ai kaash ho ye kalima phir hirz-e-jāñ hamārā
hindī haiñ ham vatan hai hindostāñ hamārā
kartī hai saaf ishāra tasvīr gokhle kī
pachhtā.e kī jinhoñ ne tahqīr gokhle kī
sargoshiyāñ karegī ik roz āsmāñ se
haañ haañ yahāñ adhūrī tanvīr gokhle kī
ta.alīm-e-ibtidā.ī ho kar rahegī lāzim
raushan karegī āñkheñ tanvīr gokhle kī
africa meñ na hogā farq-e-saped-o-asvad
lā.egī rang ḳhūnīñ taqrīr gokhle kī
hubb-e-vatan ko juzv-e-īmāñ kahā gayā hai
vaa.iz samajh ke kiijo takfīr gokhle kī
ai mo'tariz hisār-e-bātil ho laakh mohkam
kar legī par sadāqat tasḳhīr gokhle kī
mat aazmā ki haq ne girtoñ ko kaise thāmā
man jarrabalmujarrab hallat bihin-nadāma
kyon yas ho na mujh ko bahbud-e-hindiyan se
sunti hun gokhale bhi ruKHsat hue jahan se
kab tak bandha rahega tanta musibaton ka
kab tak najat hogi is saKHt imtihan se
baDhti hui umiden uThti hui umangen
miTTi mein mil gain sab is marg-e-na-gahan se
afsos mulk-bhar mein ho ek charagh wo bhi
bujh jae jalte jalte soz-e-gham-e-nihan se
mata ki pahle sewa sehat ki fikr pichhe
aisa suput bhaarat ab laegi kahan se
hubb-e-watan hamein bhi aur gokhle ko bhi thi
par tha wahan ta'alluq dil se yahan zaban se
ai kash ho ye kalima phir hirz-e-jaan hamara
hindi hain hum watan hai hindostan hamara
karti hai saf ishaara taswir gokhle ki
pachhtae ki jinhon ne tahqir gokhle ki
sargoshiyan karegi ek roz aasman se
han han yahan adhuri tanwir gokhle ki
talim-e-ibtidai ho kar rahegi lazim
raushan karegi aankhen tanwir gokhle ki
africa mein na hoga farq-e-saped-o-aswad
laegi rang KHunin taqrir gokhle ki
hubb-e-watan ko juzw-e-iman kaha gaya hai
waiz samajh ke kijo takfir gokhle ki
ai mo'tariz hisar-e-baatil ho lakh mohkam
kar legi par sadaqat tasKHir gokhle ki
mat aazma ki haq ne girton ko kaise thama
man jarrabalmujarrab hallat bihin-nadama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.