aah parwin shakir
Interesting Fact
جو ادب میں یکبارگی طوفان بن کر اٹھی اور چشم زدن میں ہمیشہ کے لئے اوجھل ہوگئی
ghanerā lahja vo husn kā thā
khulī zabāñ vo jamāl kī thī
vajūd meñ fikr-o-fan thā shāmil
adam meñ shirkat ḳhayāl kī thī
jadīd bandish zabāñ kī saj-dhaj
ġhazal ġhazal vo tarāsh us kī
use amar kar ga.ī adab meñ
vo justujū vo talāsh us kī
samo ke lafzoñ meñ mauj-e-dariyā
sadaf sadaf dhāre toḌtī thī
ḳhalā se lā kar ḳhayālī paikar
zamīñ se sayyāre toḌtī thī
vo shā.ir-e-zāt-e-shash-jihat thī
zamīn aur āsmāñ se guzrī
alāmatoñ meñ vo jī rahī thī
vo isti.āroñ meñ jaañ se guzrī
ghanera lahja wo husn ka tha
khuli zaban wo jamal ki thi
wajud mein fikr-o-fan tha shamil
adam mein shirkat KHayal ki thi
jadid bandish zaban ki saj-dhaj
ghazal ghazal wo tarash us ki
use amar kar gai adab mein
wo justuju wo talash us ki
samo ke lafzon mein mauj-e-dariya
sadaf sadaf dhaare toDti thi
KHala se la kar KHayali paikar
zamin se sayyare toDti thi
wo shair-e-zat-e-shash-jihat thi
zamin aur aasman se guzri
alamaton mein wo ji rahi thi
wo istiaron mein jaan se guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.